Quote Originally Posted by Nimra Rashid View Post
Ye dhandli e
sara sar dhandli hai
hamein achay waqeel nahi dye gaye
Shehbaz Shareef ki tarha mein nahi manti
mein nahi janti
jab kuch janti nahi ho to adalat ki karwai mei mudakhlat na karo

Quote Originally Posted by Nimra Rashid View Post
Apna Muqadmaaa mein khud larun ge
akhir ko ek intehaaae deadly waqeeeel ki behan hun mein
waqalat k jaraseeem mjh mein bhi hain
tamam freqain jo faisla kar ke mere samne paish kare ge. us ke haq mai fesla donga.phir adalat ki karwaye hogi.aur suno miya mitho o mera matlab @Nimra Rashid sabar o tahamul se kam liya jaye. warna judge ko angree bhi aa sakta hai




Quote Originally Posted by CaLmInG MeLoDy View Post
haaw haye.ye toh bohot hi moonh phatt..aur daraaz toung wali mujrimaa hain...mujhe dar hai wakeel sahab kahin aap in se dar ke bhaag naa jayain...mujhe in ke iraadoun se saazishoun...dhamkiyoun aur terrorism ki boo aa rahi hai..
mei nai bhagoonga wo b akele

Quote Originally Posted by Nimra Rashid View Post
Bus jee kabhi gharoor nahi kiya apni en khuda daad salahiton per
mubarak ho mubarak ho
Islamabad mein garmi agae hai
jis ki waja se See Amm baji ka naaak
jo sadiyon se band tha
wo khul gya hai
or ab enhay wo boo b anay lge hai
jo exist e nae karti
larki adalat mei bachgana baten na karo. kahi tumko adalat abhi case larne ki bajae khilono se khelne ka hukum na de de

Quote Originally Posted by Arosa Hya View Post
[SIZE=5 @Nimra Rashid
good job honey......... hum sath hain ....... or hum khud wakalat krain ge apni bhala kisi se hmary haqayeq ki akkasi kia hogi..... ye nya trend chalaya inhon ne k mazloom ban k case krwany waly apny mukhalfeen k liye apni pasand ka wakeel krain ge Wah Wah

muhtarma balky so called mazloma @[/SIZE]CaLmInG MeLoDy sahiba to ap ne apni derina khwahish pori kr hi dali ......

muhatram salis @bdunc @ullu ka patha muddat se in muhtarma ki khwahish thi k kisi pe moqadma dal k andar krwaya jaye..... so inhon ne isi zaman mai ye qadam uthaya ye baat in k purany khatoot mai pta chali jo inhon ne [B @Nimra Rashid[/B] ko apni dosti k zamany main likhy. ap nimra se poch skty hain or ab agar ye is baat se e mukar jayen k nimra inki dost nhi to ap janty hain k socialism k tehat dushmani ajnabiyoun se nhi hrhiz nhi hoa krti
good job. laow khatoot ki copy pesh karo. dosri bat ap ke is bayan (ap nimra se poch skty hain or ab agar ye is baat se e mukar jayen k nimra inki dost nhi to ap janty hain k socialism k tehat dushmani ajnabiyoun se nhi hrhiz nhi hoa krti )
se ye saaf zahir hota he ke ap log CM se dushmani hi kar rahe hei.is bayan pe yahen ke yaheen saza honi chahiye u ko

Quote Originally Posted by Arosa Hya View Post
Mazeed ye k case ki noiyat muddayi ka aik bachgana qadam hai........yani agar ap doston se naraz hain to case adalat mai le jayen
mjy to yaqeen hai agar in k birth day pe ja k wish kia jata to ye hmain cake ka barha piece apni plate mai rakhny pe case krwa deten
ya phir gift pasand na ata to us pe muqadma gharz jahan masoom log dekhy apni hasratain pori krny k liye case kr k khud mazloom ban gaye.
Kisi ne hum se na pocha k kia hal hai .... 3,4 din se bukhar tha (health center se reports saboot k tor pe paish kr skti hon) apna hosh nhi tha bjaye ayadat k in muhtarma ne apni birth day party manayi ab hmain bukhar oper se dementia ka masla ap hi btaiye kon haq bjanib hai
@bdunc @ullu ka patha
or mazeed ye k agar inhon ne khudgharzi mai ye qadam utha hi dala to bazurgon ki naseehat ko framosh kia jo case krny se pehly apas mai mamly ko bkhobi anjam deny ko awwalain tarjeeh dety rahy.....
Mutarman tulsa agar aisy case shumar kiye jany lagy to bigarti hoi nojawan nasal or khrabi ki traf mayel hogi
is liye mai adalat se darkhwast krti hon k iski hosla shikni ki jaye or filhal muhtarma @CaLmInG MeLoDy ko pyar se warn kr dia jaye (pyar se ku k ye hmain chahy dushman smjain lekin hm dosti ka haq ada krain ge) or mazeed ye k agar in k liye parties hum se zyada eham hain to hum mazrat krty hain tah e dil se ku k hm nahayat hasas or sula jo hain (Jesa k ap ne dekha) or yaqeen duhani krwaty hain k ainda khayal rakhain ge (chahy hm pe na jaiz muqadma hi krwaya pr hum apni achayi se majbor hai )
or inki narazgi dor krny ki koshish krain ge agar ye moqa dain
@Nimra Rashid .......... kesi rahi phir waqalat?
kia koi bhi dost ap se rooth jaye to usko pyar se hi mana lenigi na . oh zara mere is bayan ki maafi talaafi ki jaye.aik wakeel hone ke ilawa aik chel chabeela b hon. kabi kabi zuban lurak jati meri
han to CM pyar se man jao. agar pyar se nai mani toh case jari rakho no tention

Quote Originally Posted by intelligent086 View Post


السلام وعلیکم
مقدمہ کی شنوائی کا آغاز تو جج صاحبان کے حکم سے ہوتا ہے صاحبان میں سے تھریڈ لگانے کی زمہ داری تو انکل کی تھی اگر اس مقدمہ میں جواب دہ ہی انکل ہوں تو آپ منصفی کس سے چاہیں گی جبکہ دوسرے جج کے بارے میں آپ کی رائے کچھ اچھی نہیں
مدعا علیہان میں سے ایک ملزمہ اپنا مقدمہ خود لڑنا چاہتی ہے کیونکہ ان کو دیئے گئے وکلاء پر جانبداری کا شک ہے۔
مقدمہ کی مزید کاروائی نئے ججز کے آنے تک ملتوی کی جاتی ہے
فریقین سے گزارش ہے کہ اتفاق رائے سے ججوں کا انتخاب کر لیں
[/center]
bhai kia faisla hua. freqen mei..me ko b batao. aur inni mushkil language mai bat karo ge bhai to me ko samj nai aye gi . kehto ho to ham apas mai mil ke is case ka muk muka kar lei?

Quote Originally Posted by CaLmInG MeLoDy View Post
hunn araaam ee..kal mere dost faramosh ..u ke kehne pe main ne case pe mazeed discussion nahi ki...aise dukhi gaane laga ke tum adalat ko rulaa rahi theen..aur is dil main.kia rakha hai. tera hai dard chupa rakha hai..






ab mukhaalfeen agar apne case ko khud bator e wakeel larna chahte hain.toh mujhe is baat pe koi ikhtilaaf nahi.magar jahan in ki aik bat ko main ne maana hai..wahin ye aik baat meri maanain..judges change nahi honge..
chalp to phir ye fix hua. ke. mukhalfeen apna case khud larainge..kion ke bare hi larakhoo hein. aur judges jin ko ap ne muntkhib kia wo hi honge. as admin ye faisla karne ka haq rakhti hei ap

Quote Originally Posted by Nimra Rashid View Post
Baja Farmaya Aap Ne Dost
Ab to ye esi baat se e inkar kar dain ge k mein enki 11 12 mahinay purani dost nahi hun
or Judge shb enho ne mudaeded baar mjhay dhamki amaiz PMz kiya hain
wo dhamki amez khatoot yahan pesh kiye jaye. kahi kal ko me ko qatal karaya CM ne..na baba na..me ko dar lagta .