Bas meri janib do qadam kar k chalai jana
Palat kar dekhna phir ankh nam kar k chalai jana
Kisi ko rokna to dor sada tak na dai sakon
Meri is bai basi k tum bhi gham kar k chalai jana
Yahan ab koyi na aye ye andheron ki basti hai
Merai dilbar merai dil par raqam kar k chalai jana
Fiqt ek bewafai hi nahi ki ab talak mujh sai
So merai sath tum ye bhi sitam kar k chalai jana
Abhi tak phir milain gai keh nahi paye ho tum mujh sai
Meri jan ye hai rukhsat ki rasam kar k chalai jana
Jo kehti hai mai tum sai dobara mil na pwongi
Lakherai wo merai haton sai kam kar k chalai jana
Tumharai baad to jenai ka qasoor nahi baqi
Dafan tum bhi mujhai meri qasam kar k chalai jana
Bookmarks