Ho sake to karo khud main kashish paida.
Har kisi ko hasrat se dekha nhi karte .
Har shakhs nhi hota har shakhs k qabil.
Har kisi ko apne liye parkha nhi karte .
Mujh ko pana hai to Mujh main utar kar dekh.
Youn kinaron se samandar ko dekha nhi karte .
Magroor duniya kehti hai to kehne do
Hum har kisi ko mur kar dekha nhi karte .
Pal ki khushi ki khatir kisi k jism ka qurb mat mango
Jise chhoo liya jaye usay pooja nhi karte.
Bookmarks