Quote Originally Posted by Ram Mohan View Post

  • Zakhm ko phool to sarr-sarr ko saba kahte hain
  • Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain.

    Kya kyamat hai ki jinke liye ruk-ruk ke chale
    Ab wahi log hamain aabla - pa kahte hain.

    Koii batlaao ki ek umra bichda mehboob
    Ittifakan mil jaaye to kyaa kahte hain.

    Jab talak door hain to teri parsitash ker lain
    Hum jishe chu na saken usko Khuda kahte hain

    Kya taajjub hai ki hum ahle - tamanna ko 'Faraaz'
    Weh jo mahrume-tamanna hai bura kehte hain.







Umdah aor khoob surat kalaam
Share karne ka shukariya
@Ram Mohan
Aap ke liye Roman Urdu sub sec bana diya gya hai ab aasani se wahan post kiya karen , aap ki ye pst bi odher he Move kar rahe hain