phir mujhe dida-e-tar yad aya
dil jigar tashna-e-fariyad aya

dam liya tha na qayamat ne hanoz
phir tera waqt-e-safar yad aya

sadgi haye tamanna yani
phir wo nairang-e-nazar yad aya

uzr-e-wamandagi ae hasrat-e-dil
nala karta tha jigar yad aya

zindagi yun bhi guzar hi jati
kyon tera rahguzar yad aya

kya hi rizwan se larai hogi
ghar tera khuld mein gar yad aya

ah wo jurrat-e-fariyad kahan
dil se tang ak jigar yad aya

phir tere kuche ko jata hai khayal
dil-e-gumgashta magar yad aya

koi wirani-si-wirani hai
dasht ko dekh k ghar yad aya

main ne majnun pe larkpan mein 'Asad'
sang uthaya tha k sar yad aya