milti hai khu-e-yar se nar iltihab mein
kafir hun gar na milti ho rahat azab mein

kab se hun kya bataun jahan-e-kharab mein
shab haye hijr ko bhi rakhun gar hisab mein

ta phir na intazar mein nind aye umr bhar
ane ka ahad kar gaye aye jo khwab main

qasid k ate ate khat ik aur likh rakhun
main janta hun jo wo likhenge jawab mein

mujh tak kab un ki bazm mein ata tha daur-e-jam
saqi ne kuch mila na diya ho sharab mein

jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale
kyun badguman hun dost se dushman k bab mein

main muztarib hun wasl mein khauf-e-raqib se
dala hai tum ko wahm ne kis pech-o-tab mein

mai aur hizz-e-wasl, khudasaz bat hai
jan nazr deni bhul gaya iztirab mein

hai tewri chari hui andar naqab k
hai ik shikan pari hui tarf-e-naqab mein

lakhon lagao, ik churna nigah ka
lakhon banao, ik bigrna itab mein

wo nala dil mein khas k barbar jagah na paye
jis nale se shigaf pare afatab mein

wo sehr mudda talbi mein na kam aye
jis sehr se safina rawan ho sarab mein

'Ghalib' chuti sharab, par ab bhi kabhi kabhi
pita hun roz-e-abr-o-shab-e-mahtab mein