mana-e-dasht nawardi koi tadbir nahin
ek chakkar hai mere paon main zanjir nahin

hasrat-e-lazzat-e-azar rahi jati hai
jadah-e-rah-e-wafa juz dam-e-shamshir nahin

ranj-e-na-ummidi-e-jawed gawara rahiyo
khush hun gar nala zabuni kash-e-tasir nahin

sar khujata hai jahan zakhm-e-sar acha ho jaye
lazzat-e-sang ba-andaza-e-taqrir nahin

jab karam rukhsat-e-bebaki-o-gustakhi de
koi taqsir ba-juz khaslat-e-taqasir nahin

"Ghalib" apna ye aqida hai baqaul-e-nasikh
ap be-behra hain jo motaqid-e-mir nahin