aaeenaa kyun na dun ke tamaasha kahain jisey
aisaa kahaan se laain ke tujh saa kahain jisey
hasrat ne laa rakhaa terii bazm-e-Khayaal main
guldastaa-e-nigaah suweraa kahain jisey
phoonkaa hai kisne gosh e muhabbat main aye Khudaa
afasuun-e-intazaar, tamannaa kahain jisey
sar par hujuum-e-dard-e-Gareebi se Daliye
wo ek musht-e-Khaak ke sahraa kahain jisey
hai chashm-e-tar main hasrat-e-deedar se nihaan
shauq-e-inaan guseKhtaa dariyaa kahain jisey
darkaar hai shiguftan-e-gul haaye aish ko
sub'h-e-bahaar pabaa-e-meenaa kahain jisey
"Ghalib" buraa na maan jo waaiz buraa kahey
aisaa bhi koi hai ke sab achaa kahain jisey
Similar Threads:
Bookmarks