Quote Originally Posted by Arosa Hya View Post
boht umda sharing
bilkul theek kaha ap ne.......
jadu ka maqsad sirf fasad hai.........lekin jahan tk meri study hai ALLAH k baijy hoay 2 frishty haroot o maroot se logon ne ye jadu sikha jb k unhon ne bataya tha logon ko k hum tumhari azmaish k liye baihy gaye hain or tumhain iska nuqsan ho ga yani jo jadu unhon ne sikha...... lekin ap ne jo btaya wo sb sirf taghoot se related hai.
chezon ka ghaib waghaira hona may be kisi kisam ki hynatism ho
ji aap ne sahi kaha. haroot aur maroot tu aazmaish ke liye aay thay. aur ek khas qoum ki aazmaish thi. per aazmaish tu waqti hoti he. haroot o maroot chaly gay baat khatam.
per shaitaan haroot o maroot se pehly ka he. logoon ko gumrah kerna, waswasy daalna, bhatkana ye tu oska awaleen maqsad he. jis me jadu os ka sab se qeemati hathiyaar he.
aur mene jo kaha woh kafi summarized he ta ke asaani se samajh me aajay.
werna me aahadith likhoon ga tu hawalajaat ki waja se topic lumba ho jay ga. aur maqsad poora nahi hoga.

hypnotize bhi ek elim he, per her ghayab honey wali shobdah hypnotize nahi ho sakta. jin ke paas Jadu ka elim he woh aapki aankhoon ke samny se Poora ka poora bakriyoon ka rewar, ghayabt ker detey hain. tu ye koi aisi unhooni baat nahi he.