Suna Hai Ab Bhi Mere Hathon Ki Lakeeron Mein,
Najumiyon Ko Muqaddar Dikhayi Deta Hai
Khuda Ya Nakhuda Ab Jisko Chaaho Bakhsh Do Izzat,
Hakiqat Mein Toh Kashti Ittefaqan Bach Gayi Apni.
Kagazon Pe Likh Kar Zaya Kar Dun Main Woh Shakhs Nahi,
Woh Shayar Hun Jise Dilon Pe Likhne Ka Hunar Aata Hai.
Bhool Kar Bhi Apne Dil Ki Baat Kisi Se Mat Kahna,
Yahan Kaagaz Bhi Jara Si Der Mein Akhbaar Ban Jata Hai.
Kafas Mein Mujhse Rudaade Chaman Kehte Na Darr HumDum,
Giregi Jispe Kal Bijli Woh Mera Aashiyan Kyun Ho.
Jis Nazaqat Se Yeh Lahrein Mere Pairon Ko Chhuti Hain,
Yakeen Nahi Hota Inhone Kabhi Kashtiyan Dubayi Hongi.
Haath Tute Maine Gar Chhedi Ho Zulfein Aap Ki,
Aap Ke Sar Ki Kasam Baad-e-Sabaa Thi Main Na Tha.
Mere Junoon Ko Zulf Ke Saaye Se Dur Rakh,
Raste Mein Chhav Paa Ke Musafir Thhehar Na Jaye.
Dekh Lete Jo Mere Dil Ki Pareshani Ko,
Aap Baithhe Huye Zulfein Na Sanwara Karte.
There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)
Bookmarks