Falak Ke Taaron Se Kya Dur Hogi Zulmat-e-Shab,
Jab Apne Ghar Ke Chiraagon Se Roshni Na Mili.
Inn Mein Lahu Jala Ho Humara Ki Jaan-o-Dil,
Mehfil Mein Kuchh Chiraag Farozaan Huye Toh Hain.
Phir Najar Mein Phool Maheke Dil Phir Shamayein Jalin,
Phir Tasawwur Ne Liya Uss Bazm Mein Jaane Ka Naam.
Woh Baat Saare Fasaane Mein Jiska Zikr Na Tha,
Woh Baat Unko Bahut Na-Gawaar Gujri Hai.
Ab Apna Ikhtiyaar Hai Chaahe Jahan Chalein,
Rahbar Se Apni Raah Juda Kar Chuke Hain Hum
Dil Se To Har Moaamla Kar Ke Chale The Saaf Hum,
Kahne Mein Unke Saamne Baat Badal Badal Gayi.
Gham-e-Jahan Ho Rukh-e-Yaar Ho Ki Dast-e-Adu,
Sulook Jis Se Kiya Hum Ne Aashiqana Kiya.
intelligent086 (12-05-2017)
There are currently 18 users browsing this thread. (0 members and 18 guests)
Bookmarks