Dekh Lete Jo Mere Dil Ki Pareshani Ko,
Aap Baithhe Huye Zulfein Na Sanwara Karte.
Bikhri Huyi Zulf Ishaaron Mein Kah Gayi,
Mein Bhi Shareek Hun Tere Haal-e-Tabaah Mein
Puchha Na Zindagi Mein Kisi Ne Bhi Dil Ka Haal,
Ab Shahar Bhar Mein Zikr Meri Khudkushi Ka Hai.
Bhule Hain Rafta-Rafta Unhein Muddaton Mein Hum,
Kishton Mein KhudKushi Ka Mazaa Hum Se Puchhiye.
Kishton Mein Khudkushi Kar Rahi Hai Yeh Zindgi,
Intezar Tera Mujhe Pura Marne Bhi Nahi Deta
Log Bewajah Dhoondhte Hain Khudkushi Ke Tareeke Hajaar,
Ishq Karke Kyun Nahi Dekh Lete Ek Baa
Yeh Alag Baat Hai Dikhayi Na De Magar Shamil Jaroor Hota Hai,
KhudKushi Karne Wale Ka Bhi Koi Qatil Jaroor Hota Hai.
Jiski Kafas Mein Aankh Khuli Ho Meri Tarah,
Uske Liye Chaman Ki Khijaan Kya Bahaar Kya
Kaante Kisi Ke Haq Mein Kisi Ko Gulo-Samar,
Kya Khoob Ehtmaam-e-Gulistaan Hai AajKal.
There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)
Bookmarks