Haath Tute Maine Gar Chhedi Ho Zulfein Aap Ki,
Aap Ke Sar Ki Kasam Baad-e-Sabaa Thi Main Na Tha.
Mere Junoon Ko Zulf Ke Saaye Se Dur Rakh,
Raste Mein Chhav Paa Ke Musafir Thhehar Na Jaye.
Puchha Na Zindagi Mein Kisi Ne Bhi Dil Ka Haal,
Ab Shahar Bhar Mein Zikr Meri Khudkushi Ka Hai.
Bhule Hain Rafta-Rafta Unhein Muddaton Mein Hum,
Kishton Mein KhudKushi Ka Mazaa Hum Se Puchhiye.
Jiski Kafas Mein Aankh Khuli Ho Meri Tarah,
Uske Liye Chaman Ki Khijaan Kya Bahaar Kya.
Kaante Kisi Ke Haq Mein Kisi Ko Gulo-Samar,
Kya Khoob Ehtmaam-e-Gulistaan Hai AajKal.
Inn Mein Lahu Jala Ho Humara Ki Jaan-o-Dil,
Mehfil Mein Kuchh Chiraag Farozaan Huye Toh Hain.
Phir Najar Mein Phool Maheke Dil Phir Shamayein Jalin,
Phir Tasawwur Ne Liya Uss Bazm Mein Jaane Ka Naam.
Aankh Jo Kuchh Dekhti Hai Lab Pe Aa Sakta Nahi,
Mahb-e-Hairat Hun Ki Duniya Kya Se Kya Ho Jayegi.
There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)
Bookmarks