Yaad aata hai sakoot-e-shab mei'n woh aksar mujhay
Khainch laata hai meray andar say woh baahir mujhay
Kuch khabar lay aao uss ki Farwari ki barisho
Abb bahot soona lagay hai uss kay bina ye ghar mujhay
yeh za-am tha k kon-o-makaan dastaras main hai
aankhain khuli to zaat ki manzil bhi door thi.....
na rang-o- roop ki tarah na khad-o-kaal ki tarah
woh mery man main aa basa hay kisi maalal ki tarah
main raastha hon or tumhari yaad qaafla hay jo
guzar rahi hay mujh say mery maah-o-saal ki tarah
ye ajnabi se manzilein or ruftgaa'n ki yaad
tanhaiyon ka qeher hey or hum hein doston
Yeh Aaj Aye Hain Kis Ajnabi Sey Dais Main Hum
Taras Gye Hey Nazr-e-Chashm Ashna Key Liyey
Yeh Faasley, Yeh Sarhaden
Ik Pal Mein Mitaane Ki Khwahishen
Reh-Reh Ke Shor Machaati Hain
Jab Tera Khayaal Ata Hai
Yeh Duniya Zalim Duniya Hey Yeh Baat Bohut Phailaye Gi
Tum Sab K Samney Chup Rehna Or Chupkey Chupkey Ro Lena
woh mujhey piyaar to karta hai magar youn jaisey
ghar ka darwaza kisi raat khula reh jaaey
Ruka hai jab se negahon mein hijr ka mosam
Ye maah-o-saal mere be khabar se guzre hain
Jinhen sanwar gai teri qurbaton ki mehek
Vo chand lamhe bare mukhtasir se guzre hain
There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)
Bookmarks