ay aashiq na puuch zindagi kyaa hai?
zindagi to taKhallus hai muhabbat kaa
youn hi, nahee mashoor-e-zamana maira QAATIL
is shaks ko is fun mein maharaat bhi bohaat thi
Nadamatain Usay Mairi Kahan Gawara Hain
Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay
wo koi aur na they chand Khushk patte they
shajar se toot ke jo fasl-e-gul per roye they
Badla jo Waqt Gehri Rafaqt b badal gayi
Suraj Dhala to Saye ki Surat b Badal gayi
Ek Muddat tak main Os ki Zarorat Bana raha
Phir youn hua k Os ki Zarorat Badal gayi
Yeh zaroori nahin har shakhs masiha hi ho,
Pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo...
Shahar-e-ehsaas mein patharaav bahut hain,
Dil ko sheeshe ke jharokhon mein sajaaya na karo.
Iss sher mein jeene ki hai ab aik he surat
Aehsaas k mansoor ko sooli pe charha do.
Yoon sar_e_bazm koi naghma_e_javed sunna
Kay tere baad bhi mehfil mein teri baat rahe.
Ab shahar mein uss ka badal hi nahin koe vaisa jaan-e ghazal hi nahin
Aivan-e ghazal mein lafzoun ke guldaan sajaoon kis ke liye
There are currently 12 users browsing this thread. (0 members and 12 guests)
Bookmarks