Achanak phir bachaya hai kisi nadeeda hasti ne
Magar kaise hua yeh mojza maloom karna hai
Tujhey kuch yaad hai kal kab main tujh ko yaad aaya tha
Mujhey aye maa'n tera waqt-e-dua maloom karna hai
Aflaas nay bachon ko tehzeeb sikha di hai,
Sehmay hue bethay hain, sharaarat nahi kartay!
Ab os k baad laga DiL to DiL lagi hogi
Hum os pe apni mohabt tamaam kr aaye...
Main gum rehta hoon har pal teri yaadon ke melay main
Tujhe dil se bhulana hai magar fursat nahi milti
Kal uski aankh ne kia zinda guftagu ki thi
Gumaan tak na hua woh bicharne wala hai
Zakhm itnay teri chaahat say milain hain mujhko,
Sochta hoon kay kahoon tujhsay, magar jaanay day!
os se kab hum ne mulaqaat ka wada chaha
dour rah kar tu osey or bhi ziyada chaha
"yaad aya hay kuch or bhi shidat se humhin
dour jane ka os se jab bhi irada chaha
yeh dunia hai yahn per yeh tamsha ho be sakta hai
Abi jo ghum hamara hai tumhra ho be sakta hai
Woh Silsalay, Woh Shok, Woh Nisbat Nahi Rahi
Ab Zindagi Main Hijer Ki Wehshat Nahi Rahi
Toota Hai Jab se Uski Masihai Ka Talism
Dil Ko Kissi Masiha Ki Haajat Nahi Rahi
There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)
Bookmarks