Maira dard naghma-e-be-sada
Mairi zaat zarra-e-be-nishaan
Mairey dard ko jo zubaan miley
Mujhey apna naam-o-nishaan miley
De Ker Ghum-e-Judaai Woh Jaane Kidher Gaya
Burpaa Qayamatein Jo Mere Dil Pe Ker Gaya
Jaate Hue Woh Le Ke Dua Ka Aser Gaya
Mujhe Ko Ghum-e-Hayat Se Begaana Ker Gaya
Jo mujh pe guzarti hai kabhi dekh le zalim
phir dekhoo'n ke rona tujhey kyonker nahi aata
kehtey hain yeh acchi hai tarap dil ke tumhari
seeney se tarap kar kabhi bahar nahi aata
Meri zindagi main tumhari kamee hai
Mujhe yeh kamee maar daa'lay gi ik din
Jo kuch bhe kaha tha meri tanhai ne muje se
is seher ke deevar pe likha bhe wohi hai
wo jis ne deye muj ko mohabbat ke khazane
baadal ke tarah aankh se barsa bhe wohi hai
Apna Pahluu Tatola To Aisa Laga
Dill Jahan Tha Wahan
Abb Dard Hi Dard Hai
Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch rooz tere saath guzara ker ke
MaiN teri talaash main reza reza bikhar gaya
Wo junoon-e-shauq-e-wisaal tha magar abb nahin
Mehsoos kiyoun na ho mujhay begangi bahut
main bhi to is diyaar main hon ajnabi bahut
hur shakhs purkhaloos hay hur shakh bawafa
ati hay api saada dili per hansi bahut
There are currently 9 users browsing this thread. (0 members and 9 guests)
Bookmarks