3rd Thing I learned
teesri sab se ehem baat jo main ne seekhi wo ye ke insaan koi bhi ho..chahe main,,chahe aap,,chahe hamara koi ..har insan ki fitrat main ghussa karna..kabhi badla lena..ya kabhi mohabbat ka jawab mohabbat se na de kar narazgi ka izhaar karna, ya kabhi jo hamare paas hai, wo kisi doosre ko na de kar apni narazgi ka izhaar karna ye sab insaan ki fitrat main hai..magar insan aik baat bhool jata hai..aur apne aap ki soch pe apni harkatoun pe dhayan nahi deta..aur apni haqeeeqat ko kabhi nahi pechaanta..
iske liye zaroori hai ke apni haqeeqat agar jaan na hai toh apni soch ko us waqt daikho jab tumhain ghussa aa raha ho..yakeenan ya toh ham badla lene ke liye, ya ghussa show karne ke liye, ya doosre insan ko uski asliyat jataane ke liye us naimat ko dene se inkar kar dainge jo hamare paas hai aur uske paas nahi.ya us hi naimat ka muqaabla us ke aur apne darmyaan karainge..ya gharoor karainge toh us hi cheeez pe..ye nahi sochain ge ke ALLAH paak ne toh hamain zindagi ki naimat se nawaza hai.agar wo naimat insan ke hath main dei hoti toh ham toh jis pe ghussa hain us se jeene ka haq bhi cheen lete..wo rizq jo ALLAH paak ke hath main hai, hamare hath main hota toh ham wo rizq hi tang kar dete..yakeenan is soch se hamain apni soch ke abtar hone ka eshaas bohot ache se ho jata hai..bas zaroorat is baat ki hai , ke ham apne sath sach bolain..aur dil ko chota hone se bacha lain.aur shaitaani awaamil ko jitna mumkin ho khud se door rakhain..



Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out


Reply With Quote
Bookmarks