Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.
Yaadon ki shaal odh ke aawara-gardiyaan,
kaati hain hum ne yun bhi december ki sardiyaan.
Yaad dilata hai december,
Kisi ke lehje ka sard ho jana.
Kaun Kehta hai waqt marta nahin,
hum ne saalon ko khatm hote dekha hai.december mein.
December ab k jao to mujhe bhi sath le jana,
Mujhy bhi Sham hona hai mujhy bhi Gumnam hona hai.
Raat chupke se december ne yeh sargoshi ki,
Phir se ik bar rulaa doon tujhe jatey jatey.
Thandi Hawayein Kya Chalein Mere Shehar Mein,
Har Taraf Yaadon Ka December Bikhar Gya.
December ke Kehar ko Dekh kar Dil Chahta Hai,
Ya ilaahi Aisi koi Dhund uski Yaad per bhi ho.
December Jab Bhi Lota Hai Mere Tareek Kamray Me,
Mere Bistar Pe Rakhi Sab Kitabeen Bheeg Jati Hain.
Mujhe ab fark Nahin parta December beet Jaane ka,
Udaasi meri fitrat hai isey Mausam se kya Lena.
intelligent086 (12-31-2017)
There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)
Bookmarks