google.com, pub-2879905008558087, DIRECT, f08c47fec0942fa0
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.
    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 10 of 12

    Thread: Aadaab aur behlool

    Threaded View

    1. #9
      Moderator Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982
      Ubaid's Avatar
      Join Date
      Nov 2017
      Location
      Dubai U.A.E
      Posts
      1,247
      Threads
      192
      Thanks
      782
      Thanked 549 Times in 439 Posts
      Mentioned
      409 Post(s)
      Tagged
      67 Thread(s)
      Rep Power
      9

      Re: Aadaab aur behlool

      Quote Originally Posted by Aliza View Post
      khallas me to gayi

      "Behlol nai Hazrat Junaid Baghdadi (R.A) Sai Pocha.
      Shekh Sahib khanai k adab Jantai hai?

      Kehnai lagai Bismillah kehna, Apnay samnay sai khana, Luqma (Nawala) Chota lena, Sedhay hath sai khana, Khob chaba kr khana, Dosron k luqma (Nawala) par nazar na karna, Allah ka zikr krna, Alhamdu Lillah Kehna, Awal wa akher Hath dhona.

      Behlol nai kaha logon k murshid ho r khanai k adab nahi jantay. apnay daman ko jarda r wahan sai uth kar agay chal diye.

      Shekh sahib bhi pechay chal diye, Muredon nai israr kia sarkar wo dewana hai likn shekh sahib phir wahan pohnchay phir salam kiya.

      Behlol nai salam ka jawab diya r phir pocha kon ho? kaha Junaid baghdadi jo khanay k adab nahi janta. Behlol nai pocha acha bolnai k adab to jantai hongay.

      G Alhamdu Lillah, Mutakallim Mukhatib k mutabiq bolay, bai moqa, bai mahal r bai hisab na bolay. Zahir wa batin ka khayal rakhai. Bihlol nai kaha khana to khana ap to bolnay k adab bhi nahi jantay.
      Bihlol nai phir daman jada r thora sa r agay chal kar beth gaye.

      Shekh sahib phir wahan ja pohnchay r salam kia.
      Bihlol nai salam ka jawab diya, phir wahi sawal kia kon ho?

      Shekh sahib nai kaha, Junaid baghdadi jo khanai r bolnay k adab nahi janta.

      Bihlol nai pocha acha sonai k adaab hi bata dai.

      Kaha namaz-e-esha k baad, Zikr-o-Tasbeh, Sorah r wo saray adaab bata diye jo riwayat mai zikr hoye hai. Bihlol nai kaha ap ye bhi nahi jantay? uth kar agay chalna hi chahtay thai K shekh sahib nai daman pakad liya r kaha jab mai nahi janta to batana ap par wajib hai.

      Bihlol nai kaha, jo adaab ap bata rahai hai wo Faraa hai r asal kuch r hai. Asal ye hai k jo kha rahai hai wo halal hai ya haram. Luqma-e-haram ko jitna bhi adaab sai khawo gai wo dil mai tareki hi laye ga. Noor wa Hidayat nahi. jazakAllah

      Bihlol nai kaha, Kalam mai asal ye hai k jo bolo Allah ki raza wa khoshnodi k liye bolo. Agar kisi dunyawi gharaz k liye bolo gai ya bihooda bolo gai to wo wabal-e-jan ban jaye ga.

      Sonay mai asal ye hai k dekho dil mai kisi momin ya musalman ka bughaz lekar ya hasad wa kena lekar to nahi so rahai. Dunya ki Muhabbat, maal ki pikr mai to nahi so rahai. kisi ka haq gardan par lekar to nahi so rahai.

      Last edited by Ubaid; 12-13-2017 at 01:04 PM.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •