Meri saari zindagi ko be-samar uss ne kiya,
umar meri thi magar uss ko basar uss ne kiya.
Main bahut kamzor tha iss mulk mein hijrat ke baad,
par mujhe iss mulk mein kamzor-tar uss ne kiya.
Rehbar mera bana gumraah karne ke liye,
mujh ko seedhe raaste se dar-ba-dar uss ne kiya.
Shehar mein woh mo’tabar meri gawaahi se hua,
phir mujhe iss shehar mein na-mo’tabar uss ne kiya.
Shehar ko barbaad kar ke rakh diya uss ne ‘munir
shehar par ye zulm mere naam par uss ne kiya. !!
Bookmarks