google.com, pub-2879905008558087, DIRECT, f08c47fec0942fa0
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.
    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 6 of 6

    Thread: Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu

    Threaded View

    1. #1
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 Siraj jan's Avatar
      Join Date
      Feb 2016
      Posts
      119
      Threads
      19
      Thanks
      16
      Thanked 47 Times in 43 Posts
      Mentioned
      2 Post(s)
      Tagged
      125 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu

      . Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
      Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu
      Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
      Har pal har jagah nazar aane laga hai tu
      Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
      Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu
      Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
      Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu
      Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
      Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu
      Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
      Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu
      Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
      Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu
      Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar
      mera
      Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane
      laga hai tu
      Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
      Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu
      Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
      Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga
      hai tu
      Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
      Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga
      hai tu
      Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
      Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu
      Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
      Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu
      Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
      Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu
      Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
      Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai
      tu…..



    2. The Following User Says Thank You to Siraj jan For This Useful Post:

      intelligent086 (04-15-2016)

    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •