us aaKhiri bose meN kya hijr numaaii thii
pal bhar ki rafaaqat meN sadiyoN ki judaaii thii
phooloN ne bhii aaNKhoN meN ik aag hi bhaRhkaaii thii
titlii ko pakaRh kar bhii taskeen na paaii thii
jab *** paRhi dill par tab aaNKh Khuli merii
goya ye giraftaari-e-zindaaN se rihaaii thii
taKhliiq ka lamha bhi kya karb ka lamha thaa
ik simt Khuda Khud thaa ik simt Khudaaii thii
ye kooRh nazar duniya us ko bhii ghaTa samjhii
jo abr ke TukRhoN ne tasveer banaaii thii
tashkiik pe qaaiim haiN sab ilm ki buniyaadeiN
mushkil yahi KhavaaboN ki ta'abiir meN aaii thii
band aaNKh se deKhaa thaa maNzar tere aane ka
sooraj ko andhere ne kya rah diKhaaii thii
Similar Threads:
Bookmarks