lagaao dil pe ko_ii aisaa zaKhm-e-kaarii bhii
ki bhool jaaye ye dil aarzoo tumhaarii bhii

rah-e-talab meN mayassar kise mataa-e-shakeb
par apne dil ko nahiiN raas aah-o-zaarii bhii

Gham-e-firaaq kii tamheed ke liye kam hai
guzaar dooN tirii qurbat meN umr saarii bhii

kabhii to husn-e-talaafii kii soorateN socho
tumhaare paas nahiiN harf-e-Gham_gusaarii bhii

kabhii to Doob ke dekho ki deedaa-e-tar ke
samaNdaroN se jhalaktii hai be_kinaarii bhii

muhabbatoN se shanaasa Khudaa tumheN na kare
ki tumne dekhii nahiiN dil kii be_qaraarii bhii

na sah sakoge talavvun_mizaajiyaaN apnii
ki itanii sahal nahiiN hai ab vafaa_shiaarii bhii

sajaao apne laboN par vo mash'al-e-paimaaN
ki aaye merii taraf roshanii tumhaarii bhii

shab-e-firaaq meN ab tak hai yaad shaam-e-visaal
gurez-paa thii muhabbat se ham_kinaarii bhii

sadaaeN degaa lahoo dil kii dhaRhkanoN kii tarah
rahaa sukoot agar baam-o-dar pe taarii bhii

Irfaana Azeez



Similar Threads: