talwaar mire sar pe laTaktii hai sahar kii
shab hooN, mujhe chaahat hai sitaaroN kii, qamar kii
Gham kyaa hai idhar taaza hawaa aaye na aaye
khiRhakii to khulii rahtii hai hardam mire ghar kii
kaun utraa thaa aaNgan meN mire chaaNdanii ban kar
ai chashm-e-talab, toone bhii mujhko na Khabar kii
kyaa merii tarah tujhko bhii banvaas milaa hai ?
pardesii, ko_ii baat bataa apne nagar kii
jab naav mirii Doob rahii thii sar-e-dariyaa
phailii nazar aa_ii mujhe aaGhosh baNvar kii
mumkin hai ki maNzil pe pahuNch paaye na raahii
gir jaayegii ik roz yah diivaar-e-safar bhii
chhalke mirii aaNkhoN se ka_ii guzare zamaane
''Aarif'' sar-e-aa'inaa jo hasrat se nazar kii
Abdul Mateen ''Aarif''
Similar Threads:
Bookmarks