ik Khalish ko haasil-e-umr-e-ravaaN rahne diyaa
jaankar hamne unheiN na_meharbaaN rahne diyaa

aarzoo-e-qarb bhii bakhshii diloN ne ishq ko
faaslaa bhii mere unke darmiyaaN rahne diyaa

kitnii diivaaroN ke saaye haath phailaate rahe
ishq ne lekin hameiN be_khaanamaaN rahne diyaa

apne-apne hausle, apnii talab kii baat hai
chun liyaa hamne tumheiN saara jahaaN rahne diyaa

kaun is tarz-e-jafaa-e-aasmaaN kii daad de
baagh saara phooNk Daala aashiyaaN rahne diyaa

ye bhii kyaa jiine meN jiina hai baghair unke ''Adiib''
sham'a gul kar dii gaii, baaqii dhuaaN rahne diyaa

''Adiib'' Saharanpuri



Similar Threads: