Quote Originally Posted by Mamin Mirza View Post
Ehkamat jari karnay ka khabt hai.Chahti hain k tamam k tamam team members haath bandhay,sar jhukaye,Nighahen nechi kiye muhtarma K darbar main line hazir raha karain.shuhar e namdar aur ghar walon ka tou pata nahi,albatta ink saath kaam karnay walon ka aik limit k baad aakar meter ghoom hi jata hai.phir woh forum say sar par paon rakh kar nahi,paon main pahiye fitt kar k sarpat bhagta dikhai deta hai.
Aik say barh kar aik uljhan bhara,arq reezi(arq ink demagh ka....reezay dosron k demagh k)
Aur fuse uranay wala kaam kar k yun khush hoti hain jaisay qustuntuniya fatah kar liya ho.maqsad shayad ye hai k ungli kata kar shaheedon main naam shumar karwa lain.
Taluqat bigarti kisi say nahi,aur bananay ki zaroorat paish ati nahi,k muhtarma ki shakhsiyat koi shehad ki makhi ka chatta hai jo ata hai bhir jata hai.
Chand roz qabal ye raaz bhi munkashif hua mujh na cheez par k inhay ghussa bhi ata hai...wallah...Allah Allah....aisa koi Siachen Glacier jaisa sard ghussa, jis main thandak k saath saath khatray ki bu bhi ho Allah sab ko dain.
Har dam hangama barpa kiye rehna addat hai ya zaroorat,is par tehqeeq jari hai.dil kehta hai zaroorat,demagh kehta hai addat.demagh ki kabhi maine mani nahi aur dil k jhoot main ab main ati nahi.so dekhiye ont(camel) kis karwat baith'ta hai.....tehqeeq ka ont.
Lecutre.......tamam pakistaniyun ki tarhan bohat acha day laiti hain,agar masla dosray ka ho tou.
Logon ko chanay k jhar par charha kar apna kaam nikalwanay k fun say bhi bakhobi agah hain.aur gahay bagahay iss hunar say faizyab bhi hoti rehti hain.
Bazahir jo dikhti hain,woh hain nahi.aur jo hain,woh dikhti nahi.hain kawakib kuch nazar atay hain kuch ki tarhan.....kuch tou hai jis ki pardah dari hai.

Quote Originally Posted by Mamin Mirza View Post
Likhti bhi hain,parhti nahi.na apna likha na dosray musanifeen ka.khud aisa.....aur aisa aisa likhti hain k khud ko maeel ba mutala karna parta hai.urdu ki sirf tangain hi nahi tortin,grammer ka bhi qatal e aam machati hain.muhawwarray yaad nahi rehtay,phir bhi bolti hain.aik kamal ka wasf ye bhi hasil hai k kisi aik hi unwan par 10 mukhtalif andaz aur tariqon say likh sakti hain.mizah aisa tehreer karti hain k qari usay intehai sanjeedgi say parhta hai.
Kabhi aik khat likha tha.....kisi muqablay main.........MERAY PAKISTAN k naam......khat tou yaad nahi,par yaad hai woh muqabla zara zara.fateh qarar pai thin shayad.
Itni wazay nishaniyun k baad aap log pehchan tou gaye hi hongay.
Ji haan,ye azeem u shaan(khuwa mun khuwa ki) shakhsiyat sirf sirf aur sirf........Ruby Akram almaroof Calm ki melody hain.
Woh tamam log jinhon ne durust naam bataya.........unhay kuch nahi milay ga,kiyun admin sahiba kanjoos aur ye tehreer likhnay wali maha kanjoos hai.
sorry thora late hogya hogya read krne mai
ab tu sub kuch bahir aagya jo ghuse wali baat likhi hai os ka tajurba mujhe bhi achi tarah se hoa hai thanda ghusa :D ye name sahe rahe ga
aur ek cheez ko 10 tarah likhne k ilawa ek kaam ko 10 tarah se karne ka bhi hunar pass hai