Main wafa ki raah par jo chal parra,na main barrh saka na palat saka
Mainay khud hi kiya tha yeh faisla,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Tera piyar ik fareb tha,mujhe jiss ka ilm na ho saka
Chalo! Khair chhorro yeh tazkira,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Main udaas hoon tu hai shaadmaan,main hoon khasta jaan tu hai kaamraan
Hai naseeb sab ka juda juda,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Thay gilay tau us se hazaar ha,sar-e-raah woh jab bhi magar mila
Main nazar chura k yeh keh utha,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Woh jo aaya JAMI ki qabar par,kaha thaam kar yeh dil-o-jigar
Tumhain,Haif main na samajh saka,mujhe tum se koi gila nahin....!!!



Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out
Reply With Quote
Bookmarks