
Originally Posted by
Rania
Mein sumjhti hu k tasali dena dunia ka asaan tareen kaam ha aur us per amal krna shayid mushkil tareen, magur jab amul k siva koi chara na hu tu usey bhe aik aur dukkh samjh kr tasleem kar lena chahiya. Mar jao tu kahani khatam hu jati ha. Ksi ko koi fark nahi parta magar jaan sa janey wala bohot kuch kho deta ha. Behtar ha zinda raha jaye aur iss khud garz zindagi ko tamasha buna dala jaye. Taa k aik wakt aisa aye k ya zindagi hamarey taabey hu jaye.
خوب صورت انتخاب
جزاک الله خیراً کثیرا
Bookmarks