google.com, pub-2879905008558087, DIRECT, f08c47fec0942fa0
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.
    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 10 of 12

    Thread: Sahe kaha na..!

    Threaded View

    1. #9
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 singer_zuhaib's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Location
      Islamabad
      Posts
      577
      Threads
      217
      Thanks
      26
      Thanked 66 Times in 52 Posts
      Mentioned
      8 Post(s)
      Tagged
      783 Thread(s)
      Rep Power
      23

      Re: Sahe kaha na..!

      Quote Originally Posted by Ria View Post
      haan je aap ki baat apni jaga belkul drust hy k hum koshish zaror krty haien k hamri waja sy kise ko koi mushkil ya azmiash me na parna pary, lakin na chahty hoy bhi hamien ehsas nai hota koi hamri waja sy problem me aa jata
      ya kise aur k jan anjany me hum mushkil me aa jaty
      mai ap ko ek chota sa waqiya sunata hon i think os k bad muje mazid apne bare mai explain karne ki zarorat nahe pare gi.

      howa koch yon k walida ki death k bad mai multan mai apne kisi dost k han chand din raha or os k pass bethak type ka room tha jise os ne studio banaya howa tha so mai lhr ane se pehle chand din os k pass os studio mai raha ab studio type bethak mai washroom nahe tha to sath he ek shell petrol pump tha wahan washroom tha to muje wahaan washroom k liye jana parta tha ab howa yon k mai washroom k liye gaya or washroom ka dawaza band tha to mene knock karna munasib na samjha or wait karne laga jo bhi ho ga khud he bahar aa jaey ga so mai abhi wait kar he raha tha k ek or admi bhi washroom jane k liye aa gaya os ne jab muje dekha to pocha andar koi hai mene kaha ji han andar koi hai or kafi der ho gai hai par bahar nahe aa raha kher vo admi bhi mere sath washroom jane k liye wait karne lag gaya itne mai ek or teesra admi washroom jane k liye aya os ne muje or dosre admi ko khare howe dekha par direct he washroom ki taraf barha or darwaza khola or andar chala gaya os k andar jate he mai or dosra admi hum ek dosre ko hansne or herat wale andaaz mai dekhne lage k hum samajh rahe the k andar koi hai or andar to koi bhi nahe tha bas door es tarhan se banda tha k jese andar koi ho or mene kisi ko tang na karne k pesh e nazar door knock he na kia or meri waja se vo dosra admi bhi khara raha or teesre admi ne aa kar humari ankhe khooli k itne tehzeeb yafta or adab o adaab ka muzahir karo ge to yon he khare he reh jao ge es donia mai.

      kher mai or vo dosra admi ek dosre ko dekh kar kafi der hanste rahe apni bewakoofi pe ya phir apne koch ziada he adab o ehtaram ka khiyal rakhne pe or phir ye bhi ek dosre se kehte rahe k kesa admi hai do admi khare howe hain or vo andar chala gaya.

      os teesre admi k bahar ane k bad mene dosre admi se kaha sorry meri waja se ap ko muft mai wait karna para so ap pehle chale jaey mai ap k bad chala jaon ga or phir mai at the end washroom k liye gaya.

      to os k bad jab mene apne studio walew dost ko ye sara waqiya hanste howe bataya to os k studio mai 2 dost or bhi the to os ne apne dosre dono dosto se kaha k zuhaib ki jab shadi ho gi to boht kamyaab zindgi guzare ga ye kio k ye har chees ko mad e nazar rakhta hai or ane wale waqt ko bhanpte howe os ki planning ya os ki ehtiyat karta hai so vo boht impress bhi howa or os k dosto ne bhi khushi ka izhaar kia.

      yahaan ye sab batane ka maksad apne moun miya mitho banna ya khud pasandi biyan karna hargis maksad nahe hai haan albata itna zaror kehna chaho ga k koch bate RABB REHMAN ne Alhamdulillah boht Achi Ata ki hain muje jese adna o haqeer tareeen insan ko jis pe mai RABB REHMAN ka tamam umar sajde ki halat mai bhi shukar ada karta raho to bhi mai ne RABB REHMAN ka shukar thora ya kum to kia ada kia bal k tab bhi ada kia he nahe.


      Last edited by singer_zuhaib; 06-01-2014 at 04:09 PM.


      Maktab E Ishq ka Dastoor Nirala Dekha
      Os Ko Chutti Na Mili Jis Ne ''Sabaq Yaad'' Kiya

      Talaash E khudi

    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •