Originally Posted by Nimra Rashid Tarq E Talukat Pe Roya Na Tu Na Mein Lekin Ye Kya K Chain Se Soya Na Tu Na Mein Wo Humsafar Tha Magar Us Se Hum Nawayi Na Thi K Dhoop Chhao Ka Aalam Raha Judai Na Thi Adawaten Thi Taghaful Tha Ranjishen Thi Magar Bicharne Wale Men Sab Kuch Tha Be Wafai Na Thi Wo Humsafar Tha Magar Us Se Hum Nawayi Na Thi Kajal Daro Kurkura Surma Saha Na Jaye Jin Nain Mein Pee Basay Duja Kaun Samye Bicharte Waqt Un Aankhon Men Thi Hamari Ghazal Ghazal Bhi Wo Jo Kabhi Kisi Ko Sunayi Na Thi Wo Humsafar Tha Magar Us Se Hum Nawayi Na Thi Kisy Pukar Raha Tha Wo Doobty Huey Din Sada To Ayi Thi Lekin Koi Duhaayi Na Thi Wo Humsafar Tha Magar Us Se Hum Nawayi Na Thi Kabhi Ye Hal K Dono Men Yak-Dili Thi Bht Kabhi Ye Marhala Jaise K Aashnayi Na Thi Wo Humsafar Tha Magar Us Se Hum Nawayi Na Thi Na Apna Ranj Na Auron Ka Dukh Na Tera Malal Shab E Firaq Kabhi Hum Ne Yun Ganwae Na Thi Wo Humsafar Tha Magar Us Se Hum Nawayi Na Thi Muhabton Ka Safar Es Trha Bhi Guzra Tha Shikasta Dil The Musafir Shikast Pae Na Thi Wo Humsafar Tha Magar Us Se Hum Nawayi Na Thi Ajeeb Hoti Hai Rah E Sukhan Bhi Dekh Naseer Wahan Bhi Aagye Akhir Jahan Rasai Na Thi Wo Humsafar Tha Magar Us Se Hum Nawayi Na Thi Khoob surat intekhab
There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)
Forum Rules
Bookmarks