google.com, pub-2879905008558087, DIRECT, f08c47fec0942fa0
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.
    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 10 of 13

    Thread: Pakistan ka matlb kia?

    Hybrid View

    1. #1
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 singer_zuhaib's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Location
      Islamabad
      Posts
      577
      Threads
      217
      Thanks
      26
      Thanked 66 Times in 52 Posts
      Mentioned
      8 Post(s)
      Tagged
      783 Thread(s)
      Rep Power
      23

      Re: Pakistan ka matlb kia?

      phir jab mai zong mai stall activity ki job karta tha tab bhi ek bazurg customer se achi dua salam ho gai to unhon ne bato bato mai pak k halaat pe baat ki to baat se baat pak k history pe chali gai or unho ne muje kaha k beta ap jante hain k pak kis liye banaya gaya tha mene vohe sara suna or bata dia k do qomi nazria or etc etc to unho ne kaha k nahe ye sab ek dikhawa tha or es ko shosha bana kar muslim tajiro ne pakistan banaya.

      Asal kahani kia hai ab mai tumhe batata hon,suno

      india mai boht bare bare tajir the jin ki tijarat kafi wasih or achi chal rahe thi par mutaasib hinduoun ko muslim tajiro ka tijarat karna ek ankh nahe bhata tha or vo unhe aey din satate the or hindu gov.t bhi unhe satati or tax lagati thi or pabandiyan alag.

      to india k muslim tajiro ne ek meeting rakhi or ye decision lia k hume ek esa mulk chahiye jahan Hum apni tijarat or karobaar ko mukamal azaadi k sath taraqi de sake jahan humari apni gov.t ho or jahaan hume hindoun ki koi rok took ya pabandiyan na hon,or os k liye ek alag mulk ka hona be had or boht zarori hai.

      to jab fesla ho gaya k alag mulk banana hai to ye Te howa k es mission ko le kar kon chale ga or kon es mulk ko banaey ga to tab sab ne Qaid e Azam ka intakhaab kia jo os waqt england mai taleem hasil kar rahe the to koch muslim england gaey or ja kar sari kahani Qaid e Azam k kaan guzaar ki to Qaid ne haami bhar li k mai ap k sath hon or tajiro ne Qaid ko kaha k ap ne muslim awaam mai ye kehna hai k hum muslim hain or hume apni mazhabi azaadi k liye ek alag mulk chahiye or jahaan hume azaadi ho k hum apni islamic rasumat ko ada kar sake or jis Ap ne do Qomi nazriya ki buniyad k tehat muslims mai pesh karna hai.

      finaly Qaid e Azam ne unthak mehnat or koshisho k zariye ek alag mulk hasil kar lia pakistan ki shakal mai.


      or beta tum aj bhi dekh lo vohe Bare bare tajir es mulk pe Qabiz hain vo kal bhi Ameer the Aaj bhi Ameer hain Aaam Admi kal bhi gharib tha aj bhi gharib hai,kal bhi aam admi pis raha tha aj bhi pis raha hai.

      ye mulk jab tajiro ki tijarat k liye banaya gaya hai to phir tajiro ne he hakumate karni hai or jab ye mulk ek aam or gharib muslim k liye bana he nahe to phir os ne kia khush haali dekhni hai kia os ne achi pur sakoon zindgi guzarni hai.


      Mai un bazurg ki ye sari bate sun kar kisi had tak un se Agree ho gaya par phir boht si bate thi jo zehn mai aa gai k Allama Iqbaal ka khuab mai Pakistan ka banna dekhna phir ye kia tha phir osi waqt ye bhi khiyaal aya k jab tajiro ne Qaid ko do qomi nazria ka shosha de kar unhe amada kar lia tha kia pata Allama sahb ko bhi Apni bato se kaha ho k ap ne mulk banane mai eham kirdaar ada karna hai.


      par Haqq Sach kia hai ya sahee sahee na mai janta hon or na he aap,har ILM ka khaliq mallik RABB REHMAN hai,RABB REHMAN he janta hai k pakistan kio or kese or kis k liye banaya gaya hai.

      Baqiyahaan boht si bate esi kahi hain mene jis se boht se mems ko ikhtalaaf ho sakta hai.

      par

      Dekhe mera un Bazurg se Agree karna or phir aap ka muj se Agree karna ya mera Ap ki baat se Agree karna must nahe hai na he lazim o malzoom hai so pls don be hyper n calm down.



      Last edited by singer_zuhaib; 05-21-2014 at 02:43 PM.


      Maktab E Ishq ka Dastoor Nirala Dekha
      Os Ko Chutti Na Mili Jis Ne ''Sabaq Yaad'' Kiya

      Talaash E khudi

    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Tags for this Thread

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •