Sleep and Health

Almost half the population sleep badly some or most nights, and nearly a third of the population get less than six hours. You'd get eight hours of undisturbed, refreshing nap every night because studies link lack of sleep to high blood pressure, poor immunity and weight gain. Some tips of good sleeps:


1. Takes dinner before sleep.
2. Takes light dinner at night, should be break b/w dinner and sleep.
3. Room temperature should be low.
4. Walk before sleep and read book.
5. Wash your mouth with hot water in winter and cold water in summer seasons.
6. Take a glass of milk before sleep.
7. Prey some kalmia or doya.
8. Fix your time for sleep and awake.
9. There is no limit of sleep so you have to try for little sleep.
More detail in bellow read in Urdu.

Neend ka Na Aana Aur Aap Ki Sehat


Aam tor par yeh kheyal kia gia hai keh logon ko saat ya aath ghantey sona chahiye magar jadeed tahqeeq aur tajurbaat ne yeh baat sabit ki hai keh iss se bhi kam neendh (sleep) sehat mand afraad ke liye kafi hoti hai. Hala keh agar apnea as paas ghor kia jaye to hamein aise be shumaar afraad milain gay jo raat ko das ghante sone ke baad subha onghtey rahtey hain. Iss se yeh baat wazah hoti hai keh nendh do tarah ki hoti hai.


Aik gehri aur doosri neem ghehri. Ghahri neend mein khawab nazar nahi aate jabkeh neem ghehri neend mein khawab zaroor nazar aate hain. Insaan kab ghehri aur kab neem ghahri neend sota hai iss ka takhmina lagane ke liye iss ke sar par makhsoos aalat laga diye jate hain. Sone wala agar iss andaze se soye keh aankhein khuli hon aur papotey harkat Karin to sar par lage hoye aalaat yeh batate hain keh soney wala neem ghehri neend soraha hai aur agar sone wala yeh kahe keh iss ne khawab nahi dekha to wo ghehri neend soya howa hai jabkeh neend mein khwab nazar aana aik aam baat hai.


Iss liye kisi key liye 3 ya 4 ghante kafi hain aur kisi key liye 8 ya 10 ghante bhi nakafi hain lekin yeh baat maslmah haqeeqat hai keh jandar key liye neend zaroori hoti hai ise apne waqt par pura na kia jaye to kayi bimaaryian lahaq ho jati hain in mein inn mazduron key moqable mein thakan aur dil ki bimaariyan ziadah milaingi jo din mein kaam karte hain aur raat ko sote hain.


Hamara nizaam 24 ghante ka aadi ho jata hai. Neend key mutalliq yeh baat tai shuda hai keh jaise insaan ki umer barhti rahti hai. Is ki neend utni hi kam ho jati hai. Maslan no molood bache atharah ghantey sote hain jab in ki umer 16 se 19 ko ponchti hai to neend key ghantey kam ho kar 7 se 8 ghantey rah jate hain. Yaani baligh insaan no molood bache se batadreej ghat ta rahta hai. 30 saal ki umer key baad mardon aur 50 saal key baad auraton mein taqreeban 6 ghantey neend rah jati hai. Hamarey jism mein dimaagh aik aisa azu hai jis ka neend se gehra talluq hai aur is hissey ko dimaaghi kashaf kehtey hain aur haqeeqat neend ki ziadah zaroorat isi hissey ko hoti hai.


Neend ki kami ki halat mein bhi sab se ziadah yahi mutasir hota hai aur iss hissey par na khushgawar asraat marattab hotey hain. Jo khatarnaak to nahi hote albattah inn se kaam karne ki salahiyat ko noqsaan ponchne ka khadsha hota hai. Insaan ki sehat par kam soney se muzir asraat nahi partey.


Raat ko achi neend key chand zaroori aur aasan gur yaad kar lain aur inn par amal karain.


*Sone se pehle raat ko khana kha lena chahiye. Khali pait har giz na soyain. Khane aur soney key darmiaan kam az kam aik ghante ka waqfa zaroor hona chahye.

*Raat ko hamesha halka phulka khana chahiye. Saqeel aur taiz marchein har giz na khayain.

*Kamrey main taiz hawa ka guzar na ho.


*Roz marrah ki halki warzish aur chehal qadmi sehat key liye faidah mand hota hai.raat ko sone se pehle kuch dair kisi dilchasp book ka mutalya faida mand hota hai.

*Agar neend na arahi ho to iss se har giz be chain nah on be chaini ki koshish aap par ulta asar andaaz hogi iss liye aap yeh sochain keh aap aaram kar rahe hain sardi mein neem garam aur garmi mein sard pani se apne munh par cheentey marain.

*Sone aur jagne ka aik waqt muqarrar Karin.

*Neend ki koi had nahi iss liye aap kam se kam sone ki aadat dalain. Iss ke liye foran koshish na karain.


Similar Threads: