Dua in Urdu:Basa awqaat qabulyat dua ki takheer mein kafi maslahatain bhi hoti hain jo hamari samajh mein nahi aati hain. Hazrat Muhammad (SAW) ka farman aalishan hain jab Allah Taala ka koi pyara dua karta hai. Jibrail (AS) arz karte hain. Elaahi! “Tera bandah tujh se kuch maangta hai. Hokum hota hai, thehro! Abhi nah do. Takeh phir mangay keh mujh ko is ki aawaz pasand hai”. aur jab koi kafir-e-ya fasiq dua karta hai. Fermata hai, “is ka kaam jaldi karo, takeh phir na mangay keh mujh ko is ki aawaz makroh yani napasand hai”.
Bookmarks