(6) "Bahterein Ta'lluqat Bhi Badalte Rahte Hain"
Akser Logon Ne Soche Samjhe Baghair Ye Baat Pakar Rakhi Hai Ke
Mazboot Ta'lluq Hamesha Mazboot Hi Rahta Hai Or
Us Me Kabhi Koi Utaar-Charhao Ya Tabdeeli Nahi Aati,,,
Ye Such Nahi Hai,,,,Such Ye Hai Ke Waqt Ke Sath Sath JisTarah Insan
Me Tabdeelyan Aati Rahti Hain,,,,
IsiTarah Shadi-Shuda Zindagi Bhi Musalsal Badalti Rahti Hai,,,
Jo Husband Wife Is Haqeeqat Se Nazrein Churate Hain Or Is Khauf Se
Tabdeelyon Ko Qabool Nahi Kerte Ke Tabdeelyan Un Ki Shadi-Shuda Zindagi
Tabah Kerdengi,,, Unki Zindagi Waqai Masa'il Me Ulajh Jaati Hai,,,
Payaidar Or Khush-Gawar Shadi-Shuda Zindagi Sirf Un Jorhon Ko Naseeb Hoti Hai
Jo Apne Aap Me Lachak Paida Kerte Hain,,,,,Aik Doosre Ka Ehteram Kerte Hain,,
Yehi Aitmad Or Yehi Ehteram Unko Nai Haqeeqaton Ko
Qabool Kerne Ka Hosla Deta Rahta Hai,,,,,,,!!!!!!!!



Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out

Reply With Quote
Bookmarks