(5) Shadi Kerne Wale Nafsiyyat Ke Mahir Nahi Hote,


Shadi Ke Khwabon Mese Aik Ye Hai Ke Hamara Jeevan-Sathi Khud Ko Hamari Umangon
Or Tamannaon Ke Mutabiq Ddhaal Ley,,,!!!!!
Jab Aisa Nahi Hota To Hum Ko Mayoosi Hoti Hai,,,
Kabhi Kabhi Ye Ehsaas Hota Hai Ke Hamare Saath Faraib Dhoka Kya Gaya Hai,,,,
Asal Me Ye Tawaqqo (Umeed) Hi Ghair Haqeeqat Pasandana Hai,,,,
Ke Hamara Sathi Hi Zahn-o-Dill Ki Gahrayon Me Palne Wali Aarzuoon
Ko Khud-BaKhud Parh Lega,,,Or Phir In Ki Takmil (Poora Kerna)
Ke Lye Masroof Hojaiga,,,,,,,
Jo Log Ye Da'wa Kertey Hain Ke Unke Jeevan Sathi Un Ko Achhi Tarah Samajhte Hain,,
To Wo Ye Bhi Jaante Hain Ke Isme Khud Inki Koshishon Ka Dakhal Hai,,,
Seedhi Si Baat Hai Ke Jab Tak Hum Apne
Baatin (Andaruni Kafiyat) Ko Numaya (Zahir) Na Keren,,, Doosrey Isse Agah Nahi Hosaktey,,,,





Islye Jab Husband Wife Aik Doosrey Ko Apni Khwahishat Or Umangein Batatey Hain,,,
To Wo Aik Doosrey ko Samajhne Lagtey Hain
Isharo Isharo Me Inka Izhar Kerna Chahye,,,, Tab Hi Aap Ka Sathi Unko Jaan Sakega,,,,,,!!!!!!