(3) Shadi Ka Matlab "Qabool Kerna Hai"

Ghalti Se Aksar Auqat Hum Ye Samajh Lete Hain,,Ke Shadi Hame Doosre Fard Ko Apni Marzi
Kemutabiq Dhaalne Ke Licence Dedeti Hai,,,,Yun Hum apne Saathi Ki "ISLAAH" Per Lag Jaate Hain,,,
Chahe Is Amal Me Wo Khoobyan Bhi Tabah Ho Jaaen Jin Ki Waja Se Wo Hame Accha Lagta Hai,,
Ye Tareeqa-e-Kar Ghalat Hai,, Jab Aap Doosre Ki Islaah Kerna Chahan Aur Bazahir Wo Aap Ke
Mutalbe poore Kerne Lage To Bhi Dill Ki Gahrayon Me Wo Tabdeeli Ki Mazahmet Zaroor Kerega,
Haan Agar Zindagi Ko Naqabil-e-Bardasht Banane Wale Masail Paida Hojaaen ,,
To Phir Doosre Per Apni Marzi Musalat Kerne Ke Bajaey, Mill Ker Baitthey,,,
Masail Ka Hul Talash Kejye,,

Magar Ye Kabhi Na Boolye Ke Hur Shukhs Me Koi Na Koi Khami Zaroor Hoti Hai,,,
Hum Farishtey Nahi Hain,,




Khushgawar Zindagi Sirf Un Jorhon Ko naseeb Hoti Hai,,Jo Jaante Hain Ke
Shadi Ka Matlab Aik Doosre ki Kamzoryon Aur Khamyon Ko Qabool Kerna Hai,,,
Shadi Khud-bakhud Hame Tabdeel Kerti Chali Jaati Hai,,,,,,!!!!!!!!