(2) "Shadi Khul Jaa Sim Sim Nahi,,,
Shadi Ke Faido Ka Isqadar Charcha Kya Jata Hai Ke, Log Isko Bachpan Ya Purani Mohabaton
Ke Dye Huye Tamam Zakhmo Ka Marham Samajhne Lagte Hain.
Lekin Shadi Zati Masa'il Ka Hul Nahi Hai,,,,,,
Husband Wife Ka Ta'aluq Chahe Jitna Bhi Gahra Ho Wo Dono Alag Alag Fard Rahte Hain,,,,
Shadi Ka Matlab To Bus Ye Hai, Ke Do Afrad Hatho Me Haath Dalker Zindagi Ka Safar
Tey Kerne Ka Paiman (Wada Kerte) Bandhte Hain,,
Jab Hum Ye Tawaqqo (Umeed) Kerne Lagen Ke Jeevan Sathi Apni Ana Ko Khatam Kerde,
Hamari Ana Ki Taskeen Kere Or Hamari Khamyon Ki Talafi (Khamyo Ki Talafi Kerna=Kamyo Ko Poora Kerna) Kere
To Phir Nakami Hi Daikhni Paregi,,,,
Is Rawiyye Ki Waja Se Hamare Sathi Ke Dill Me Sirf Talkhiyan Hi Paida Hongi,,,
Ye Tareeqa Ghalat Hai,,,,Or Nuqsaan-De Bhi Hai,,,Isse Door Rahna Chahye,,,Apna Bojh Khud Hi Utthana Chahye,,,,!
Bookmarks