(1) "Ye Sirf Sitaaron Ka Khail Nahi"
Ye Khayal Aam Hai Ke Jo Log Khush-Qismat Hain,Un Ko Achhe Jeevan-Sathi Miljaate Hain,,,
Or Jin Ki Qismat Kharab Ho, Un Ko Bure Sathi Se Pala Parta Hai,,,
Isi Tara Aik Aam Khayal Ye Bhi Hai Ke Mohabbat Hojati Hai,,Or Hume Be-Bus
Kerdeti Hai,,,,,Sachhai Is Khayl Se Bilkul Alag Hai,,,,!!!
Hame Mohabbat Ke Samarat (Asarat) Ko Barqarar Rakhna Ho To Phir Hum Ko Bhi
Hath Paon Maarne Parenge,,,,,,,, Is Silsiley Me Pahli Baat Ye Hai Ke Hame Apne Saathi Ko
Samajhne, Uski Aadatein Or Khwahishat Janne Per Gehri Tawajjo Deni Paregi,,,,
Kisi Ta'alluq Ki Quality Ka Daromadar Is Baat Per Hota Hai Ke Achhe Or Bure Waqton Me
Do Log Aik Doosre Ke Saath Kis Tara Paish Aate Hain,,,,???
Azdawaji (Shadi-Shuda) Zindagi Kabhi Aik Jaisi Nahi Rahti,,Wo Ya To Phal-Phool Rahi Hoti Hai
Ya Phir Bigar Rahi Hoti Hai,,,,,,!!!!!!



Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out


Reply With Quote
Bookmarks