google.com, pub-2879905008558087, DIRECT, f08c47fec0942fa0
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.
    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 8 of 8

    Thread: Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat?!

    1. #1
      UT Poet www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Dr Maqsood Hasni's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      2,263
      Threads
      786
      Thanks
      95
      Thanked 283 Times in 228 Posts
      Mentioned
      73 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      84

      Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat?!



      Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat?!


      Tehreer;
      Prof. Mr. Maqsood Hasni (P.PhD)

      Paish’kash:
      Prof. Mohammad Abdullah Qazi (PhD isl. Std., Linguistics)
      Principal,
      Govt. College Bahawanagar (Pakistan)


      Mein kaee roaz say soch raha tha kah insan ko Allah Karim nay khoub nahain, khoub’tar bhi nahain balkah khoub’tarein (Ahsan) kay darjay par faez farmaya hai to phir yah digar makhluqaat (1) aur janwaroun balkah baz ouqaat janwaroun say bhi baad’tarein harqatain kayoun karta hai. ?

      Yah sawaliya maira hi nahain, her soch bichar karnay walay shakhas ka hai. janwar ziyada’tar paiat say sochta hai kayoun’kah os ki sochnay ki salahiatain insan kay barabar nahain hain aur nahi insan jaisi tarjihaat hoti hain. Janwar ko Allah Karim nay ghaat laganay ki salahiat say nawaza hai jab’kah insan ko tatbeer ka rasta dikhaya hai. Insan nay is salahiat say hamaisha bohat hi kam faeda othaya hai. Yah to janwar say kahein ghat’kar sabat howa hai. Kavway ko chalak’tarein parinda samjha jata hai likin os ki chalaki insan kay samnay sifar ho kar reh jati hai.
      Insan ko bardasht kay mada say nawaza gaya hai jab'kah janwar main bardasht ka mada nahain rakha giya. Bhouk main woh bai’chain ho jata hai. Malahza farma lain insan bhouk poiyas main pagal ho jata hai aur her qisam kay insani taqazay aur asoul bhoul jata hai.

      Insan aur janwar lakhoun saal say zamein par eak sath reh rahay hain. Janwar insani moashrat ka ahum’tarein hissa raha hai. Eak sath reh kar bhi rehnay kay hawala say insan os sa nahain likin adaat aur khasael kay hawala say janwar say bohat hi qareeb raha hai. Aaj kay taraqi’yafta dour main bhi yah surat-e-haal kuch mukhtalif nain. Donoun kay darniyan mojoud mamaslatoun kay hawala say maira yah tajziya malahza farmaein:
      Fareshtay paigham rasani ebadat aur kae dosray faraz sar’anjam daitay aa’ay hain yah bhi oon say kaam karta aaya hai.
      Jin sharat sar’kashi hukam’odoli (2) waghera main hamaisha marouf rahay hain. Insan main bhi yah khasael pa’ay jatay hain.
      Devtaoun ko khasael kay hawala say missal banaya jata raha hai. Insan bhi en sifaat say mehroum nahain raha.
      Rakhshash kabhi bhi achi nazar say nahain daikhay gay.
      Evil souls say bhi achay ki towaqo nahain rakhi gae.

      Jin makhloqaat ka opar hawala diya giya hai mairi nazar say kabhi nahain gozray ta’hum oon kay honay aur oon kay kamoun kay hawalay parhtay aur sontay aa rahay hain. Haan albata janwar nazroun say ghaeb rahay hain aur insanoun say in ka rabta aur ta’alaq daikhnay aur sonay say ta’alaq rakhta hai. In kay hawala say baray itmaad say baat ki ja sakti hai. Maslan

      Janwaroun ki aur insan ki body language main hairat’angaiz mamaslatain mojoud hain.

      Odasi, dokh dard, khushi,dar, khouf, bhouk piyas, mohabat, nafrat, soach bichar ki kafiyaat, lalach, havas, sex ki talab, romanas, bimari, fikar’mandi, garmi sardi, dosti, doshmani, daranay dhamkanay ki kaifiat, ghossa, narazgi, douri, qorbat, madad ki talab, phansnay ki adat, ghat lagana, tashakur, shakaet, shakar karnay kay taiwar, larnay marnay, soug, dostana andaz waghera waghera ka andaz donoun kay chary aur jism ki naqal-o-harkaat (body language) say ba’khoubi lagaya ja sakta hai.

      Insan aur janwaroun kay bachoun ko doudh pilanay kay andaz bhi eak say hain:
      Insan group aur family main rehna psand karta hai. Yah sift janwaroun main bhi pae jati hai.
      Insan naqali kartay hain siraf bandar hinahain digar janwar bhi naqali kartay hain.
      Khushi main insan hinsatay aur ghami main rotay hain janwar bhi rotay aur hanstay hain.
      Insan sikhnay kay amal say gozartay hain. Janwar bhi sikhnay kay amal say gozartay hain.
      Insan gatay hain janwar bhi sorili leh main gatay hain.
      Insan ko sorili leh aur aawaz khush aati hai hai. Janwaroun ko bhi sorili leh aur aawaz achi lagti hai.(3)
      Insan khail koud karta hai. Janwar bhi khail koud kartay hain.
      Insan raqas karta hai. Janwar bhi nachtay hain.
      Insan doshman kay sath jang kartay hain jab’kah janwar bhi apnay sardar ki sar’kardgi main doshmun kay khalaf lartay hain aur apni bahadri kay johar dikhatay hain.
      Insan sinaf-e-mokhlif ko matasar karnay kay liay ajeeb ajeeb qisam ki harkatain karta hai aur yahhi surat-e- haal janwaroun main nazar aati hai.
      Insan janwaroun kay qareeb rehna ko mayoub khayaal nahain karta. Janwar bhi insan kay qareeb rehna pasand karta hai.
      Insan kuch mil janay ki surat main anay malik say gaddari karta hai. Janwar bhi haddi mil janay ki surat main malik ya apnay qabilay ka sath chour kar chour say mil jata hai.
      Insan boray waqt main sath chour jata hai janwar bhi boray waqt main apnay sathi ka sath chour jatay hain.
      Insan boray waqt main sathioun ka sath daitay hain. Janwar bhi boray waqat main apnay sathioun ka sath nahain chourtay.
      Mokhtalif hawaloun say Insan hijrat karta hai. Janwar bhi hijrat kartay hain.
      Insan khorak ki talash main nikalta hai. Janwar bhi khorak ki talash main nikaltay hain.
      Insan apnay bachoun say piyar karta hai. Jawar bhi apnay bachoun say piyar kartay hain
      Padaesh kay hawala say khatoun zachgi ki dardoun say dou’char hoti hai. Mada janwar bhi es say bala’tar nahain hai.
      Insan say chouk hoti hai jis kay sabab ossay noqsan othana parta hai. Janwar bhi apni kisi ghalti kay sabab noqsan othatay hain.
      Insan omomun janwaroun ki si harkaat kata hai. Paltu janwar bhi janwaroun kay say kaam kartay hain aur onhain os main|| koe diqat mehsus nahain hoti.
      Kuch kaam insan janwaroun kay say nahain kar pata likin taqribun ki haad tak kar laita hai. Yahhi surat-e-haal janwaroun kay sath darpaish hai.
      Sonay jagnay kay andaz miltay jultay hain.
      Khanay pinay ki bohat sari chizain eak jaisi hain. Insane janwar ki jhout kha laita hai. Janwar bhi insan ka chopra howa khana khushi say kha laitay hain.
      Donoun es matti say nikalnay wali chizoun ka estamal kartay hain.
      Donoun ka inhasar eak dosray par hai. Insan kay hawala say yah moamla seraf paltu janwar tak hi mehdoud nahain.

      Gher paltu janwar bhi insan say jura howa hai aur insan bhi os say estafada karta hai. Maslan:
      Insan janwaroun ka doudh pita hai. Janwaroun ka doudh adviyaat main estamal karta hai es main soar, kotya, gadhi waghera shamil hain.

      Gosht’khour janwar gosht khatay hain. Insan sabzioun aur daloun kay sath sath gosht bhi bhi bari khushi say khata hai. Baz gosht’khour janwar mordar kha jatay hain. Insan bhi barailar kay towast say mordar khata hai. Havas’pasand qisaab morda janwaroun ka gosht bachtay hain aur khatay hain.
      Kuch janwar ghar nahain banatay aur eak jaga parao nahain kartay. Es qamash kay insanoun ki bhi insani moashrat main kami nahain hai.
      Insane aur jawaroun ko bohat sari eak si bimariyaan lahaq hoti hain.
      Hamal aur padaesh kay moamlaat taqriban eak say hain.
      Anday ka insanoun main estamal bara aam hai.
      Insan janwaroun ka doudh pitay hain. Janwa bhi insan ka doudh pitay hain.
      Insan dou paoun par chalta hai janwar bhi dou paou par chal saktay hain ya kam az kam kharay ho saktay hain.

      Yahaan chand bohat qareeb ki mamaslatain araz ki gae hain warana roaz mara say mota’alaq bohat sari batoun main eak sa’pun paya jata hai.

      Insan kay janwaroun say jinsi ta’aloqaat aur reshta, mamaslatoun tak hi mehdoud nahain balkah oon kay darmiyan jinsi reshta bara qaribi aur mazbout raha hai.

      Penis sucking janwaroun main bhi mojoud hai ya insan nay yah illat janwaroun say hasil ki hai bilkul essi tara female sex organ sucking janwaroun main bhi mojoud hai.

      Baz janwaroun kay sex organ ho’baho insan jaisay hotay hain. Haan lambae waghera main kuch farq ho sakta hai likin insane kay liay khush’kon rehta hai.
      Jin maoun say mojouda adam ki nasal ka aaghaz howa hai, oon ki shakhasi haisiat mashqouk chali aati hai.
      Lilith: Adam say pehlay matti say bane gae, jin thi, Devi thi, bhout thi, woman of sprit thi waghera waghera qisam ki batain parhnay sonnay ko milti hain.
      Unnamed eve: kay mota’alaq kuch nahain milta kah woh koun aur kiya thi. Os kiya bana aur os say Adam ki kitni ouladain haein.
      Hawa: aasman say otri, hoor, Adam ki bachi hoe matti say takhleeq hoe, jin thi, pehloun main say thi, Adam ki pasli say banaya gae, devi thi waghera waghera qisam ki batain parhnay sonnay main aati rehti hain.

      Mein yahaan yah sabat nahain karma chahta kah mojouda admi janwar aur insan kay jinsi milaap ka ya phir janwar ya kisi aur taraqi’yafta makhlouq kay jinsi ta’aluq ka natija hai. Ya yah kah insan janwaroun ya kisi janwar ki taraqi’yafta shakl hai. Mein seraf es zimun main dou batain arz karnay ka motmanni houn:
      *Pehli baat yah kah insan aur janwaroun aur dosri makhlouqat
      ki bahmi moashrat kay natija main insan main hiwani khasael chalally aa’ay hain.
      Dodri baat yah kah janwaroun aur insanoun kay jinsi milaap say insan’nama log bhi vajoud main aa’ay hain jis kay sabab insan main na’seraf janwaroun ki si adtain aa gae hain balkah es kay Haiti dhanchay main bhi janwaroun ki se tabdiliaan aae hain warna insan ko Allah Sahib nay khoub’tarein paida farmaya hai. Hazrat Adam (AS) say pehlay bhi daranay walay donya main aatay rahay hain likin onhoun nay oon daranay waloun kay kehnay par apni harqaat-e-baad say toba nahain ki. Oon ki es baad amali kay sabab onhain halak kar diya giya. (4)

      Adam ko tarji di gae onhain ilm ki dolat say sarfaraz kiya giya. Es fazilat kay hawala say Fareshtoun ko jin main jin bhi shamil thay, Adam ko sajda karnay ka hukam mila.

      Adam (AS) ko 120 ouladoun say nawaza giya. Yah ouladain donya ki mokhtalif valaitoun main pehloun ko rah-e-rast par lanay kay liay mahajar hoein. Onhoun nay pehloun say azdvaji reshtay qaem karkay onhain izzat bakhshi. Es tara daranay ka amal jari-o-sari rakha giya. Yah alag baat hai kah bohat saray logoun nay koe assar nahain liaya. jis ki vaja say onhain saza bhi milti rahi. Es saza say ibrat lainay ki baja’ay Admi nay adaat-e-baad say toba nahain ki.

      Allah Sahib apni adat kay motabiq daranay walay bhaijta hi raha. Soulaihein waghera eslah kay liay tashreef latay rahay hain aur en Holy Spirt kay anay ka silsala aaj bhi jari hai.

      Yah moamla Allah Sahib hi janta hai kah admi itna bara martaba panay kay bavajoud insane janwar honay main kayoun farhat aur fakhar mehsus karta hai. Admi janta hai kah woh digar makhlouqaat say afzal hai aur es amar ka dawa bhi karta hai likin kaam janwaroun kay say karta hai.

      Ab yah faisla karma bara hi mushkal hai kah es insan ko, insan kaha ja’ay ya janwar ka naam diya ja’ay. Haiti itbar say yah insan nazar aata hai likin es kay kaam bhairioun, kotoun, soavroun, gidaroun, gidoun, lomaroun, ghadoun, bilioun, waghera jaisay hain. Mein soch soch kar halkan ho giya houn kah aakhir es insan ko kiya naam diya ja’ay kayounkah es kay moamlaat insan kay say nahain hain. Allah Sahib nay to essay boland kar diya hai likin essay bolandi khush nahain aa rahi. Pehloun ko hum es liay matoub kartay hain kah oon kay sarbarahoun nay khuda honay ka dawa kiya . Aaj ka mohazab admi khuda honay ka dawa to nahain karta likin kaam aur tamkanat khudaoun jaisi hi hai. Os kay kisi ghalt ko ghalt keh kar daikh lain, agala din daikhna bhi naseeb na ho ga.

      Es makhlouq ko admi keh lain ya koe aur naam day lain. Yah madi taraqi main aasman ki balandioun ko hi kayoun na chou lay, essay insan ka naam daina qatan zulm aur ziyadti kay motradif hai. Yah woh insan nahain ya os insan ki nasaql say nahain lagta jissay malaek-e-falki nay sajda kiya tha. Agar yah woh insan ya os insan ki nasal say hota to es main insanoun jaisi kuch to baat hoti.

      Kisi ko Noor Mohammad keh dainay say os ki mosalmani sabat nahain hoti. Essi tara kisi ko Yaqoub Masi keh dainay ka matlab yah nahain kah woh Essa (AS) ki shariat par chalnay wala ho giya hai. Bilkul yahhi mitar aur ki pehchan ka nahain banaya ja sakta. 20, 20 ropay kisi say asal say zaed lay kar woh hazaroun ka mojram ho raha hai. Kisi aur ko takleef day kar mehsus hi nahain kar raha. Khud to chain kar apna aur apnay ayaal ka paiat bhar raha hai yahhi nahain apni nasal kay liay bhi haram ki kamae jama kar raha hai ossay yah yaad tak nahain kah eak roaz ossay Allah Sahib ko jawab daina ho ga. Jo shakhas khud ko Khuda samjh raha hai aur khayaal katrta hai kah sab kuch os kay hath main hain aur woh kuch bhi kar chuknay ki ehliat rakhta hai. Woh kisi kay samnay jawab’deh hi nahain aur Os kay hukam kay bagher koe sanas bhi nahain lay sakta, ossay kis asoul ki bonyad par insan kaha ja’ay ga?!

      Baad’onwani kay zomray main kuch kaha ja’ay to kaha jata hai kah bhouk piyas main marta kiya karta. Kiya bhouk piyas ya koe aur hajit fitrat main tabdili la saktay hai.?!

      Fitrat tp apni jaga par atal thous aur naqal-e-taghear hai. Es main tabdili nahain aa sakti. Agar tabdili aa jati hai to fitrat ko fitrat nahain kaha ja saklta. Lion ko ghas khilanay kay lakh jatun karain woh ghas nahain kha’ay ga kayoun’kah ghas khana os ki fitrat main dakhil nahain. Kha laita hai to lion ko lion nahain kaha ja sakta. Ga’ay ko gosht nahain khalaya ja sakta. Agar woh kha lati hai to woh ga’ay nahain rahi os ko koe aur naam daina paray ga.

      Hathi anda nahain daita agar dainay lagay to os ko kis bal botay par hathi kaha ja’ay ga. Bilkul essi tara insan khoub’tarein aur Khuda kay image par banae gae makhlouq hai, es liay es say danista ghalt nahain hona chahiay. Khud pait bharta hai aur os ka humsaya bhouka say sota hai, khud jina chahta hai likin auroun say jinay ka haq chein laita hai to admi ko admi kis tara kaha ja sakta hai. Agar admi danista ghalt karta hai aur bhoul jata hai to es ko insan kehnay ka koe jawaz baqi nahain rehta.

      Kisi ko insan ya janwar qarar dainay kay liay koe to mitar hona cahiay. Aaj kay taraqi’yafta shakhas ko ba’shour makhlouq to kaha ja sakta hai likin essay insan kehna kisi tara monasab nahain.yah woh insan nahain jis ka hawala Allah Sahib nay Sura Tein main diya hai. Yah zalmoun main say ho giya hai. Kisi zalum na’insaf, khud’gharaz, lalchi, havas’pasand, rishwat’khour, aqraba’parast, paitu, zaat ka qaidi waghera ko insan nahain darinda ya hiwan to kaha ja sakta hai insan kehna baja’ay khud insan ki tazleel hai. Insan to kaenaat ko khoub’surat aur nafees’tarein bashinda hai.mujhy yah sab kehnay main koe sharmindgi mehsus nahain ho rahi kah aaj ka insan, insan nahain, janwaroun ki koe taraqi’yaft shakl hai jo hiwani kamoun main janwaroun say bhi bazi lay giya hai. Es hawala say es makhouq ko janwaroun ka sardar kaha ja sakta hai.
      ---------------------------------------------
      1- Jin, Malaek, Dev/Devi, Holy Sprits, Holy Souls waghera
      2- A. Ezazeel is ki behtarein daleel hai.
      b. Jinoun ki Sar’kashi karnay par ezazeel ko sarkobi kay liay bhaija giya to os nay jinoun ko maar maar kar jangloun main bhaga diya. Woh donya ka badshah honay kay sath afvaj-e-jin-o-malak ka garnael bhi tha.
      c. Pehli sar’kashi ko daikh kar hi Adam ko sajda karnay say inkaar kiya giya.
      3- Hazrat Daoud (AS) ka qissa aam hai kah jab woh kalaam apni sorili aawaz main partay thay to parinday aur janwar bhi onhain sontay thay. Essi hawala say lehn-e-Daoudi tarkeeb marouf hai.
      4- Sura Yonis : 12, 13, 14


      Similar Threads:

    2. #2
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 UmerAmer's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      4,677
      Threads
      407
      Thanks
      124
      Thanked 346 Times in 299 Posts
      Mentioned
      253 Post(s)
      Tagged
      5399 Thread(s)
      Rep Power
      160

      Re: Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat?!

      Bohat Khoob


    3. #3
      UT Poet www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Dr Maqsood Hasni's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      2,263
      Threads
      786
      Thanks
      95
      Thanked 283 Times in 228 Posts
      Mentioned
      73 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      84

      Re: Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat?!

      bari bari meharbani janab


    4. #4
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 singer_zuhaib's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Location
      Islamabad
      Posts
      577
      Threads
      217
      Thanks
      26
      Thanked 66 Times in 52 Posts
      Mentioned
      8 Post(s)
      Tagged
      783 Thread(s)
      Rep Power
      23

      Re: Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat?!

      Assalam O Alaikum.Aala threasmd,Insaan he Ek Esi Wahid Makhlooq hai Jo Insaaniyat pe aey to Fsrishto Bhi Insaan Pe Rashk karte hain or yehe insaan Insaaniyat ko choor k Hewaaniyat pe utar aey To Hewaan bhi Panah Mangte hain,Insaan Tab he Insaan Rahe ga Jab tak vo REHMAN se Jura Rahe ga.



      Maktab E Ishq ka Dastoor Nirala Dekha
      Os Ko Chutti Na Mili Jis Ne ''Sabaq Yaad'' Kiya

      Talaash E khudi

    5. #5
      UT Poet www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Dr Maqsood Hasni's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      2,263
      Threads
      786
      Thanks
      95
      Thanked 283 Times in 228 Posts
      Mentioned
      73 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      84

      Re: Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat?!

      aap darust farmatay hain
      yah agar apnay moqam ko pehshan lay to pori kaenaat main is si koee takhleeq nahain


    6. #6
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 singer_zuhaib's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Location
      Islamabad
      Posts
      577
      Threads
      217
      Thanks
      26
      Thanked 66 Times in 52 Posts
      Mentioned
      8 Post(s)
      Tagged
      783 Thread(s)
      Rep Power
      23

      Re: Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat?!

      Barhaq o Beshak,herat hena k Insaan Pehchan apni Karta hai or Milta RABB REHMAN se hai...!!! Bas Jise Toufeeq mili ho os RABB REHMAN ki zaat se vohe RABB REHMAN k Israar o Ko Ponch pate hain.



      Maktab E Ishq ka Dastoor Nirala Dekha
      Os Ko Chutti Na Mili Jis Ne ''Sabaq Yaad'' Kiya

      Talaash E khudi

    7. #7
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 singer_zuhaib's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Location
      Islamabad
      Posts
      577
      Threads
      217
      Thanks
      26
      Thanked 66 Times in 52 Posts
      Mentioned
      8 Post(s)
      Tagged
      783 Thread(s)
      Rep Power
      23

      Re: Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat?!

      Barhaq o Beshak,herat hena k Insaan Pehchan apni Karta hai or Milta RABB REHMAN se hai...!!! Bas Jise Toufeeq mili ho os RABB REHMAN ki zaat se vohe RABB REHMAN k Israar o Ko Ponch pate hain.



      Maktab E Ishq ka Dastoor Nirala Dekha
      Os Ko Chutti Na Mili Jis Ne ''Sabaq Yaad'' Kiya

      Talaash E khudi

    8. #8
      UT Poet www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Dr Maqsood Hasni's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      2,263
      Threads
      786
      Thanks
      95
      Thanked 283 Times in 228 Posts
      Mentioned
      73 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      84

      Re: Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat?!

      aap ki tovajo aur mohat ke liay mamnoon hoon
      Allah aap ko khush rakhe


    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    sax.aadmi..janwar.ka

    qazi aur insaaf k taqazay

    janwar ka. milap

    janwaroun se sax

    saxaadmi

    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •