yah kaisi mohabbat hai?
sona tha hum ne logoun se
mohabbat cheez aisi hai chupa'ay chup nahain sakti.
yah aankhoun main chamakti hai
yah cehroun pe dhamakti hai
yah lehjoun main khanakti hai
diloun ko rolati hai
ratoun ko jagati hai
agar yah sab sach hai to phir
Allah se hum ko bhala kaisi mohabbat hai
na aankhoun main chamkti hai
na chehroun pe dhamakti hai
na lehjoun se khanakti hai
na diloun ko rolati hai
na ratoun ko jagati hai
to yah kaisi mohabbat hai?
to yah kaisi mohabbat hai?
Similar Threads:
Bookmarks