google.com, pub-2879905008558087, DIRECT, f08c47fec0942fa0
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.
    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 5 of 5

    Thread: Farazyaat

    1. #1
      UT Poet www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Dr Maqsood Hasni's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      2,263
      Threads
      786
      Thanks
      95
      Thanked 283 Times in 228 Posts
      Mentioned
      73 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      84

      Farazyaat



      FARAZYAAT

      Faraz ka shamar urdu kay behtarein aur roshan khayaal shaeroon main hota hai. Oon ki zoban main loch godaz aur shaguftagi paee jati hai. woh zindagi ko bara qareeb say aur aaj kay shakhas kay hawala say daikhtay hain. Tashbihaat alamatain aur ista'aray bari khobi aur kamal say oon kay haan jaga pa ga'ay hain.

      Woh shakhas kay dukh ki baat kartay hain. Jabr monafqat aur astamaar kay khalaf aawaz othatay hain. Aksar lagi lipti kay bagher apna moaqfaf paish kartay hain. Aaj kay shkhas ka shair mobile sms kay hawala say ajeeb rang liay howay hai. Oon kay naam say saikroon shair sms kay hawala say parhnay ko mil rahay. in shairoon ka khaliq koon hai koee nahain janta likin yah shair street life main pori shidat say jaga pa ga'ay hain. Eak baat zaroor hai kah is alhaqi shaeri kay hawala say logoon kay rojhanaat rovaeay aur omomi atwaar zaroor samnay aatay hain. Hum in ashaar kay zariay aaj kay shakhas ko kisi na'kisi sata par khooj saktay hain. Mein nay kuch shaiar ba'toor hawala aur khush'tabi jama kiay hain.


      Bawar rehna cahiay kah yah kalam faraz ka nahain laikin os say munsoob kar diya giya hai. is kalaam ka shair koon hai koee nahain janta laikin yah kalaam samaj say sms kay zariay pani hasal kar raha hai aur tabasam kay elawa samaji rovaeoon ko bhi samnay lata hai.
      pareay aur lutaf lijiay:


      1- Os ko Rab say itni baar manga hai faraz
      ab to hum hath othatay hain dua fareshtay kartay hain

      2- Shaeri choor kar pakoray bach raha hoon wassi
      kalaija monh ko aata hai anjam-e-faraz daikh kar

      3- Aankhoon main nami thi
      aur vitamins ki kami thi
      jis say raat bhar baat hoe faraz
      woh girl'friend ki ammi thi

      4- Hum neend kay shoqein to nahain hain faraz
      tairay khaab na daikhain to gozara nahain hota


      5- Os kay pas 10 marlay kay 2 palat hain faraz
      phir bhi kehti hai, zara si dil main day jaga tu bhi

      6- Yaad aa'ay to bas itni si anaet karna
      apnay badlay howay lehjay ki wazahat karna
      tum to chahat ka shah'kar howa kartay thay
      kis say sikhi hai ulfat main milawat karna
      hum sazaoon kay haq'dar banay hain kab say
      tum hi keh doo kah jurm hai kiya mohabat karna
      tairi furqat main yah aankhain abhi tak num hain faraz
      kabhi aana, mairi aankhoon ki zirarat karna

      7- Tumhari yaad mujhy aisi aati hai faraz
      jaisay andhi main ortay howay shopar aatay hain

      8- Otha tha waqt-e-tahiyad ossay mangnay kay liay faraz
      pani thanda vaikh kay phir soo giya mein

      9- Hamaray khaab to os din hi choor choor ho ga'ay thay faraz
      jab woh pehli bar hamaray gher aaee to ammi boli,
      jao baita baji kay liay pepsi lay kay aao

      10 Light janay kay baad abhi moom bati jalaee hi thi faraz
      kam'bakht koe phoonk mar kay happy birthday keh giya

      11- Mein piyaar kartay yoon'hi os ka brest daba raha tha faraz
      boli, "yah mairay mamay hain, blood check karnay ka aala nahain"

      12- Yah jo chapli pehhan kar aaya hoon tumhari mehfal main faraz
      yah sab khuda ki dain hai, ossi kay gher say otha kar laya hoon

      13- Woh mairi mali halat say khoob aaga thi faraz
      phir bi kehti hai,"mainu noot vakha maira mood banay"

      14- Jaza saza day vaihum nay kujh vi karn na dita faraz
      zinda rehan day cha nay chaj nal marn vi na dita

      15- Abhi na jao choor kay is mehfal ko faraz
      thori dair main yahaan chawal taqseem honay walay hain

      16- Mairay eshq ki bowling nay os kay dil ki wicket to gira di Faraz
      laikin mairi qismat to daikho; os ka baap emper tha, no ball day giya

      17- Pocha ------- nay tum aur mujh main kya faraq hai Faraz
      moskara kay kaha "tum qoom ko qoom mujh ko kar rahi hai zaleel"

      18- Ilam main bhi kya nasha hai Faraz
      kitabain kholtay hi neend aa jati hai

      19- Mehsoos ho rahi hai fiza main tamataroon aur andoon ki baad'bu Faraz
      lagta hai mairay watan ki criket team aanay wali hai

      20- Kash woh subh need say jagay to mujh say larnay aa'ay Faraz
      tum koon hotay ho khaab main maira bistar kharab karnay walay

      21- Aagaz-e-mohabat hai itna toot kay na chaho ossay Faraz
      agar os nay sim badal li to phir kya karo gay?!

      22- Ro'ay woh is qadar mairi lash say lipt kar Faraz
      lash oth kay boli "lay toon mar lae sadi khair ay"

      23- Police ki maar say her koee mar to nahain jata Faraz
      bas othnay baithnay kay andaz badal jatay hain

      24- Kal raat mein nay apnay saray gham aasman ko sona diay Faraz
      aaj mein kush hoon aur aasan ro raha hai

      25- Kayoon na karoon yah dua kah ossay mairi umar lag ja'ay Faraz
      ho sakta hai aaj aakhri din ho mairi zindgi ka

      26- Mat nikalo maira janaza os ki gali say Faraz
      warna os ka baap kahay ga sala martay martay chakar laga giya

      27- Zindgi bher jisay chahtay rahay Faraz
      aaj os ka baita bola, Mamoon mujhy sakool choor kay aao

      30- Ghar bana kay maire dil main woh choor kar chala gya Faraz
      ab na khud rehta hai na kara'ay par charnay daita hai

      31-Tumain bholnay kay liay eak pal chaheay Faraz
      wo pal jissay log mout kehtay hain

      32- Tiwinkle tiwinkle little Faraz
      tairi girlfriend gaee bazaar
      os ko mil giya naya piyar
      ab toon baith kay makhyaan maar
      toba toba astaghfar
      tiwinkle tiwinkle little Faraz

      33- Kabhi kabhi mein laitay laitay yah sochta hoon faraz
      kah agar baith kay sochoon ga to koon'sa teer maar loon ga

      34- Yah keh kay India nay pakistan ka pani khool diya Faraz
      kah hum larki kay susral ka pani tak nahain pitay


      Similar Threads:

    2. #2
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 UmerAmer's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      4,677
      Threads
      407
      Thanks
      124
      Thanked 346 Times in 299 Posts
      Mentioned
      253 Post(s)
      Tagged
      5399 Thread(s)
      Rep Power
      160

      Re: Farazyaat

      ;hansi::;hansi::


    3. #3
      UT Poet www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Dr Maqsood Hasni's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      2,263
      Threads
      786
      Thanks
      95
      Thanked 283 Times in 228 Posts
      Mentioned
      73 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      84

      Re: Farazyaat

      Shukarriya janab


    4. #4
      Vip Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982www.urdutehzeb.com/public_html ~KAYRA~'s Avatar
      Join Date
      May 2014
      Location
      ●♥ღ ÐязαmℓάиÐ ღ♥●
      Posts
      6,773
      Threads
      1070
      Thanks
      16
      Thanked 83 Times in 77 Posts
      Mentioned
      201 Post(s)
      Tagged
      1897 Thread(s)
      Rep Power
      188

      Re: Farazyaat

      34- Yah keh kay India nay pakistan ka pani khool diya Faraz kah hum larki kay susral ka pani tak nahain pitay

      trueeeeee
      bath:




      DonT Wanna Say AnythinG!!!
      ​​​​
      Don’t PLAY With Me
      Coz I know
      I Can PLAY Better Than You.

      kayra~

    5. #5
      UT Poet www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Dr Maqsood Hasni's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      2,263
      Threads
      786
      Thanks
      95
      Thanked 283 Times in 228 Posts
      Mentioned
      73 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      84

      Re: Farazyaat

      Shukarriya janab


    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •