? Your Aim Of Life?

To Be A Great Human Being. With Basics Of Islam

? You Are Most Happiest When.....?

When I Feel I Did Some Thing For Others.And Pray To Allah Pak Ke Ya Allah Mujh Se Razi Rehna.(Aameen)

? Barish Ka Bheega Bheega Mousam Kasa Lagta Hai?

Hayee....... ...Meri Haye Se Andaza Ho Gaya Hoga Ke Kaisa Lagta Hai.. I Love Rainy Season.

? Whom U R Scared Of ? ? Your 5 Close Friends ?

Darti Warti Nahi Hon Kisi Se..Haan Jhagraaloo Logon Se Door Bhaagti Hon. Tu Tu Main Main Pasand Nahi. Oonchi Awaz Main Baat Karne Wale Logon Se Door Bhaagti Hon. Five Friends, Hmmmmm. Most Of People Like To Be In My Friendship, So I Care All Of Them. So Kisi Aik Ya Kisi 5 Ka Name Nahi Le Sakti.

? Kisi Say Pahli Mulakat Mein Kon Se Bat Ka Jaiza Layti Hain?

Behaviour, Talking Style.

? Gussa Ata Hai Tu Kia Kerti Hain?

Preffer To Stay Calm And Silent. Kion Ke Jald Bazi Aur Ghusse Main Insan Ghalat Baat Keh Bhi Deta Hai, Aur Ghalat Kaam Kar Bhi Leta Hai. So Its Better Ke Jis Baat Pe Ghussa Aaya Hai. Us Baat Ka Jawaab Baad Main Dia Jaye Araam Se.

? What Is That Which Makes You To Come On Internet Again And Again?

My Free And Lonely Time.

? Kia Ap Kismat Pe Yaqeen Rakhti Hain Ya Samjhti Hain K Insaan Apni Kismat Khud Badal Sakhta Hai?

Insan Ki Qismat Sirf Allah Pak Ki Raza Se Change Ho Sakti Hai, And I Strongly Believe In Qismat.

? Agar Ap Ko Bola Jaye K Ap Ki Mulakat Ut K 6 Members Say Kerwai Jaye Gi Tu Kis Kis Say Milna Pasand Keray Gayi?

Arre Wah..What A Fantastic Question. (Amna Rani,Mamin Mirza, Kayra, Rana Taimoor, Armaan, Bdunc, Dr Maqsood Hasni) And A Few More.

? Ghar Walay Kis Name Say Bulatay Hain?

Real Name Se

? Ap Ki Birth Place?/Date Of Birth Kia Hai?

Rawalpindi Pakistan, 15th Jan

? Lesson U Learnt From Life Or By Anyone?

Learned Alot.
1-Ghussa Haram Hai, Is Ko Control Rakhna Chahiye
2-Aik Waqt Main Ham Apne Ird Gird Ke Tamaam Logon Ko Khush Nahi Rakh Sakte. Toh Behtar Hai Apne Aap Ko Khush Rakho.
3-Kitni Khushi Doosroun Ke Kaam Aa Ke Hasil Hoti Hai, Utni Apne Kam Kar Ke Nahi Hoti.

4-Kisi Ki Zaroorat Main Uske Hamesha Kaam Aow.
5-Nafrat Aur Ghussa Khatam Naa Karo Toh Barhta Rehta Hai. Isliye Isko Khatam Karna Parta Hai.Isliye Fori Tor Pe Logon Ko Moaaf Kar Do. Warna Is Aag Main Khud Jalte Raho Ge.Kisi Ka Kuch Nahi Jaye Ga.
6-Zubaan Se Aise Alfaaz Ada Na Karo Jin Par Baad Main Sharmindagi Ho.
7-Zindagi Aor Log Kisi Kaam Ke Nahi..Dono Se Koi Umeed Laga Ke Nahi Rakhni Chahiye.
8-Naseeb Se Pehle Aur Barh Kar Kabhi Kuch Nahi Milta.
9-Ziaada Talluqat Ziaada Problems Create Karte Hain, So Relations Limited Hone Chahiye.
10-Apni Bunyaad Ke Sath Hamesha Jure Raho, Like Apne Relegion, Parents, Culture, And Nature.
11-Ehmiyat Hamesha, Ikhlaq, Saadgi, Khamoshi Sharafat, Aur Maasoomiyat Ko Do. Is Ke Bar Khilaaf Cheezain Aap Ko Uljhaa Deti Hain.