اسلام علیکم
https://i.imgur.com/kJsn2sP.png
Printable View
اسلام علیکم
https://i.imgur.com/kJsn2sP.png
انتخاب کلام اور کام
عمدہ اور خوب صورت
walaiakum salam
wah..bohot khoob...frame...design poetry and work..all behtreen..bohot khoob.
verynice workjii mehnat jari rakhain
Nyc Sharing
:Nice:
t4s
Har taraf sai ho rahi hai tujh pai shaeri
A December zara bata teri khasiyat hai kia
Bas ek meri baat nahi thi,
sab ka dard December tha.
Barf ke shehar mein rehne wala ek ek fard december tha.
Pichhle saal ke aakhir mein bhi hairat mein hum teeno the..
ek main tha,
ek tanhaai thi,
ek bedard December tha..
Apni apni himmat thi,
aur apni apni kismat thi.
Haath kisi ke neele the,
aur peela zard December tha.
Phoolon par tha sakta taari,
khooshbu sehmi sehmi thi..
khouf’zada tha gulshan sara,
Dehshat’gard December tha …!
December ki sard hawaoo
Us se milo to kehna___!
K aaj bhe
Kisi ki palkain
Sir e sham he
Us k intizar main
Beegh jati hain,
Aaj bhe koi
Us kay liye
Udas rehta hay___!
Us se milo to kehna___!!
December ki sard hawaoon
Us se milo toa kehna
K aaj bhe
Kisi k din rat
Us kay bin
Sogawar guzertay hain,
Aaj bhe
Kisi ki aankhain
Us kay liye
Num rehti hain__!
Bohat umdah
Yaadon ki shaal odh ke aawara-gardiyaan,
kaati hain hum ne yun bhi december ki sardiyaan.
Yaad dilata hai december,
Kisi ke lehje ka sard ho jana.
Kaun Kehta hai waqt marta nahin,
hum ne saalon ko khatm hote dekha hai.december mein.
December ab k jao to mujhe bhi sath le jana,
Mujhy bhi Sham hona hai mujhy bhi Gumnam hona hai.
Raat chupke se december ne yeh sargoshi ki,
Phir se ik bar rulaa doon tujhe jatey jatey.
Thandi Hawayein Kya Chalein Mere Shehar Mein,
Har Taraf Yaadon Ka December Bikhar Gya.
December ke Kehar ko Dekh kar Dil Chahta Hai,
Ya ilaahi Aisi koi Dhund uski Yaad per bhi ho.
December Jab Bhi Lota Hai Mere Tareek Kamray Me,
Mere Bistar Pe Rakhi Sab Kitabeen Bheeg Jati Hain.
Mujhe ab fark Nahin parta December beet Jaane ka,
Udaasi meri fitrat hai isey Mausam se kya Lena.
december geya ab january pe shyrie karen;;)
Usay Kehna Judaai K Darakhton Par Jo Sookhi Tehniyaan Hain
Wo Saari Barf Ki Chadar Main Kab Ki Dhak Chuki Hain
Aur Unki Shaakhon Pay Yaadon K
Jo Pattay Thay Sunehri Ho Gaye Hain
Usay Kehna December So Gaya Hay
Aur Yakh Basta Wo Bheegi January Phir Lout Aayi Hay
lain jee mai bhi agaya .......... abb khush?