http://i.imgur.com/IcbigKY.png
Printable View
sir ji thanks
Very nice sharing
achi koshish ,color normal use keya karin zeyda teez nahi hona chye
بہت عمدہ اور لاجواب پوسٹ شیئر کرنے کا شکریہ
مزید اچھی اچھی شیئرنگ کا انتظار رہے گا
Zabardast
bahut hi umdaa kaam.......... frame mein thori garh barh lagi
lajwab sharing
Ap yahan apni sharing kar k yahan k expities ko tag katen. Like CM. Like @Veedoo or bhi kich ache designer hei yahan
Well. Good work u did. Or kam ka intizar rahe ga
guide kion nahi ka rainge..hamare pas toh MASHAALLAH lajawab qaabil designers hian like @Veedoo sir g.aap apne desinges ko post kar ke unka link chat box main post kia karain.ya tag kia karain users ko..
aalaww
ham yah sekhny aye ha aur yah koi Aam to farohat nhi hu rhy :P :)):)) heheh
sir cloud yar angle yar water color filter use kr k background bnana to sab ko ata ha aur internet in sab tuts sy bra pra ha aur maza to tab ha na jab oi official cheez sekhaye maza to is my ha official gur to koi nhi sekhata...
Us knowldge ka kiya faida jo khud k kam na asaky na koi dosro ko btaye na hi koi tuts
koi aik aad b professional tareeqa kisi ny b post nhi kiya aj tak pay kiyo ?????????
Bukheel log b hn es dunya mn,,, specially designers ki dunya mn
dekho bhaiyo............ aik baat toh saaf saaf kehne man koi harj nahi hai. koi bhi insan kiis bhi insan ko ilm ghol ke nahi pila sakta hai. ilm hasil karne ke liye bhaag dour karni parti hai. aur designing toh aisa kaam hai..jis ko insan basics seekh le ..toh experiments kar ke aur bohot kuch naya create kar sakta hai. aur agar koi hamain apna official gurr nahi bhi sikha raha..par jitna sikha raha hai.hamain at least uska utna shukar guzar toh hona hi chahiye.aur designing one by one logon ko nahi sikhaayee ja sakti.kion ke time spending kaam hai ye. kabhi koi online hai.kabhi koi nahi.kabhi koi free hai.kabhi koi busy..aik time pe sab log online aa kar ikhate kaam nahi sikha sakte.na hi seekh sakte hain... main ne veedoo bhai se text ke liye help mangi thi..unko time naih mill saka..unke student se seekhi..ap ko apni desinging main kis cheez ki khami nazar aati hai.usko mention karain..koi na koi zaroor sikhaye ga ap ko..
ففط باتیں اندھیروں کی محض قصے اجا لوں کے
چراغ آرزو لے لے کر نہ تم نکلے نہ ہم نکلے
koi kisi ko kitna hi kiyo na btaye us ko utna hi kam lgta ha
hamry bry kehty ha beta ilm jaha sy mily us ko ly lo chahy us ki qeemat bazar my ik siky k brabr b na hu ......
bat krny ka mqsad yeh nhi k har kisi ko aleda aleda hi sekhya jaeye tu wo sekhy ga
mujy bas itna bta dain koi ik b tuts aesa ha jis my kisi kisam ka tareeqa aesa hu ju har junior ko na ata hu agr ilm bantna ha tu achi trha sy banto warna aesa ilm bantny ka b koi faida nhi...
acha chalian agr wo yeh b nhi kr sakta tu ik tut aesa bna hi daly jis sy hum sab k tumam error 100% na shi 50-70% to dor hu jaye mujy ik baat ki smj nhi ati k yeh khud ko urdu designer tu skehty ha lakin urdu ki liye in ki sacrification nill ha .............
thanks
..................
Hamza ( The Lion Of Justice)
sorry to say..par thori si clarification doon. main bhai nahi hon. :). ye signatures mujhe veedoo bhai hi ne bana ke diye hain.main ap ko sikha sakti hon..par ye main pehle se bata doon.ke mujh main na toh perfection hai.na hi aalaa kaam karna janti hon main. ye zara new year ki gehma gehmi tham le..mujhe kaafi kaam hain filhaal..new year celebrations and update ke..phir aap mere kaam daikhiye ga..agar aap ko lagta hai.ke desinging ke hawalese ap ki kuch help kar sakti hon.toh hazir hon. :)
baki mere kaam yahan already posted hain. wo bhi aap for example daikh sakte hian. :)
Hamza sb.. jitna main veedoo sir g ko janti hon..mujhe ye maloom hia.ke wo yahan hamari bohot request par aate hain..desinging ke shehnshah hain wo..is baat se inkar karna sahi nahi... wo kafi MASHAALLAH ache designer hain.
baki tutorials banana kaafi time spending hai..issi waja se.aaj tak main khud tutorials nahi bana paai hon.. kion ke mujhe forum ke kafi updates main busy rehna parta hai. lakin meri niyat hia mukammal ke is saak tutorials aise zaroor psot karoon..jo ke new designers ke liye kafi ziada help ful houn. IN SHA ALLAH..
han perfection ka main wada nahi karti..kion ke main toh khud is kaam main perfect nai hon..:)