-
******* Ghazal Collection *******
***Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai***
************************************
Zaban Khamosh Hoti Hain Nazar Se kaam Hota Hai
Isi Mahool Ka Shayad Mohabbat Naam Hoti Hai
Andaz bahakne Lagta Hai, Baton Me shararat Hoti Hai
Ankhon Se pata Chal jata Hai Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai
Jab unse kaha ki tasavur me Dil Aapko Sajde Karta hai
Vo Kahne Lage Tum Karte Raho Ye Khas Ibadat Hoti Hai
Dil Torte Hain Phir Jorte Hain, Rula Ke humen bahlate Hain
Yeh Raaz Khula Dilvalon Me Reulvane Ki Aadat Hoti Hai
Kun Jhutha Vada Karte Ho, Jab Maine Kaha To Kahne Lage
Nadan Ho tum, Vaade Se Mere Kuch Der To Rahat Hoti Hai
Andaz bahakne Lagta Hai, Baton Me shararat Hoti Hai
Ankhon Se pata Chal jata Hai Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
***Ous ko ehsaas ki khushboo say***
***************************************
Ous ko ehsaas ki khushboo say rihaa karna tha
Phool ko shaakh say khiltey he juda karna tha
Poch Barish say woh hanstey huwe roaii kiun hae
Mosam ous ney toh nashaa bar zarah karna tha
Talkh lamhey nehi deity hain kabhi piyasoon ko
Saans kay sath na zeihar ab rawah karna tha
Kis Qadar garam hai shaamon ki khanak ranngini
Mujhy ko luuh say kisi chehrey pe rawa karna tha
Chaand pura tha ousey yoon bhi na taktey shab bhar
Yoon bhi yaadon ka har ik zakham hara karna tha
Dono simaaton ko he murna tha mukhalif janib
SAth apna humain shairoon mein likha karna tha
Kurbb say aai hai NAINA mein yeh neelahat bhi
Dard ki neeili raghain dil mein rakha karna tha
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
***Noshi Gilani ki Ek Ghazal***
**********************************
mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna
jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna
jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain
magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna
jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina
jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna
yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain
jab inn ki yakh bas'tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna
tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say
jo mairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
Apne hone ka ham iss tarha pata dete thai
khak muthhi mai uthhate thai urha daite thai
be samar jaan k ham kaat chuke hain jo shajar
yaad aate hain k be chare hawa daite thai
uski mehfil mai wahi such tha wo jo kuch bhi kahey
ham bhi gungo'n ki tarah haath uthha daite thai
abb se pehle jo qatil thai boht achhey thai
qatl se pehle jo pani tau pila daite thai
wo hamain kosta rehta tha zamane bhar mai
aur ham apna koi shair suna daite thai
ghar ki ta'meer mai ham barso'n rahe hain pagal
roz deewar uthhate thai gira daite thai
hamm bhi abb jhoot ki paishani ko bosa daingey
tum bhi sach bolne waley ko dua daite thai
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
Mujhe us KHUDA ki talash hai ...
ye zara zara si baat pe,tarha tarha k azab kyun?
jo kisi se bhi khafa na ho mujhay us KHUDA ki talash he
mujhe laghzashon pe har ghari koi tokta ha bar bar?
jissy ker k dil ko dukh na ho mujhay us GUNAH ki talash he
bina hamsafar k kab talak koi musafton main laga rahe?
jahan koi kisi se juda na ho mujhay us RAHH ki talash he
mujhe dekh ker jo aik nazar mere sare derd samajh sake
jo is qadar ho chara-gar mujhay us NIGAH ki talash he
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
Mere chehare se gam aashakaaraa nahii.n
ye na samajho ke mai.n gam kaa maaraa nahii.n
duubane ko to duube magar naaz hai
ahl-e-saahil ko ham ne pukaaraa nahii.n
yuu.n dikhaataa hai aa.nkhe.n hame.n baag_baa.n
jaise gulshan pe kuchh haq hamaaraa nahii.n
zikr-e-saaqii hii kaafii nahii.n ai 'fana'
bepiye maikade me.n guzaaraa nahii.n
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
Mujhe apne zabt pe naz tha, sar e bazm, raat ye kya hua
Meri aankh kaise chhalak gayi, mujhe ranj hai ye bura hua
Meri zindagi ke chiragh ka ye mizaj koi naya nahin
Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bhuja hua
Mujhe jo bhi dushman e jaan mila, wohi pukhta kaar e jafa mila
Na kisi ki zarb ghalat pari, na kisi ka teer khata hua
Mujhe aap kiyun na samajh sake ye khud apne dil hi se poochiye
Meri daastaan e hayat ka to warq warq hai khula hua
Jo nazar bacha ke guzar gaye, merey samney se abhi abhi
Ye merey hi shehar ke log they, mere ghar se ghar hai mila hua
Mujh ek gali mein para hua kisi badnasseb ka khat mila
Kahin khoon e dil se likha hua, kahin aansuo'n se mita hua
Mujhe hamsafar bhi mila koi to shikasta haal meri tarah
Kai manzilon ka thaka hua kahin raastey mein luta hua
Humein apney ghar se chaley huey sar e raah umr guzar gayi
Koi justujoo ka silaa mila na safar ka haq hi adaa hua
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
sham bahut udas hey"
Koi tou guftgoo kero...........sham bahut udas hey
Tum merey paas he raho.....sham bahut udas hey
Kuch bhi tou boltey nahin, khoul yeh tourtey nahin
Mein nein kaha, suno zara....sham bahut udas hey
Mujh sey nah tum milo mager , mujh sey nah kuch kaho mager
Sham sey aa key kuch kaho..sham bahut udas hey
Deikhoo , Bahut hey ser giraan umer e rawan ki dastaan
Iss mein nah aour ghum bhero sham bahut udas hey
Itna hey iztraab kion, karb mein hein junab kion
Milna hey ger tou aa milo.......sham bahut udas hey
Maana keh tum khafa nahin,kehney kou kuch bacha nahin
Acha sa sheir he perho...........sham bahut udas hey
Koi nahin idher udher , sarey khamoush baam o darr
Kis sey kahein dua karo .........sham bahut udas hey
Kuch tou ilaj e gham kero , Saber e khasta jaan sunoo
Aaj kissi kou khatt likhoo......... sham bahut udas hey
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
Main wafa ki raah par jo chal parra,na main barrh saka na palat saka
Mainay khud hi kiya tha yeh faisla,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Tera piyar ik fareb tha,mujhe jiss ka ilm na ho saka
Chalo! Khair chhorro yeh tazkira,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Main udaas hoon tu hai shaadmaan,main hoon khasta jaan tu hai kaamraan
Hai naseeb sab ka juda juda,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Thay gilay tau us se hazaar ha,sar-e-raah woh jab bhi magar mila
Main nazar chura k yeh keh utha,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Woh jo aaya JAMI ki qabar par,kaha thaam kar yeh dil-o-jigar
Tumhain,Haif main na samajh saka,mujhe tum se koi gila nahin....!!!
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
Deikho to ye umeedoN ka diya jalta hey kahaaN tak
aaNkhoN meiN ye ik khaab naya palta hey kahaN tak
na'jaaney kis gumaan ke behlaawey meiN uljah kar
wo saath to chala aaya hey par chalta hey kahaaN tak
hey naaz bohat zabt pe magar deikhna hey mujh ko
ye haalaat meiN jalta hey to pighalta hey kahaaN tak
log taaq meiN beitthey heiN ke deikho to is ka kirdaar
majbooriyoN ke saaNchey meiN dhalta hey kahaaN tak
merey tajas'sus-bharey gumaaN ko ab ye fikr lagi hey
ke rangoN meiN waqt apney tujhey rangta hey kahaaN tak
imtehaan teri wafaaoN ka abhi aaya hi nahi hey
deikheiN ge tu badalta hey to badalta hey kahaaN tak
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
Jee chuke hum bahut faqt apne liye, gar jiye apnii khaatir to phir kyaa jiye
Hum pe ehsaan bhaarii zamaane ke hain, na zamaane kii khaatir jiye, kyaa jiye
Aaj apnaa watan raas aataa nahin, naujawaan chul pade aaj pardes ko
Is watan mein zahaalat, gariibii sahii, bewatan kii tarah gar jiye kyaa jiye
Chaahe aapas mein kitanii adaavat rahe, khuun ke rishte mitate nahin bair se
Rishte gairon se bun kar bhii bunate nahin, gair ke ghar mein jaa kar jiye, kyaa jiye
Aadamii kii hawas kyaa kabhii kum huii, jeb jitanii bharii utnii khaalii rahii
Paisa puuje kabhii bhii khudaa na mile, paise ke waaste jo jiye kyaa jiye
Pyaar apne se aur apne dil se sabhii, log karte hain karte rahe hain sadaa
Pyaar sacchhaa jo auron ke dil se kare, hain wahii jo Khalish asliyat mein jiye...
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
Hum apne aap se itni morawat ker hi lete hain
kabhi tanhai main khod ko malamat ker hi lete hain
unhen ilzam kya den jin k zehar aalood hain lehje
kahin thori boht hum b to ghaibat ker hi lete hain
koi tota howa diil jor dete hain mohabbat se
namazi to nahi lekin ibadat ker hi lete hain
dilon main uon ager ik dosre se pyar berta hai
chalo ik din bicher jane ki himat ker hi lete hain
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
Jo Rishtey Dil se jurte hain Inhain tora nahi karte
Kisi ka Saath Raste mai kabhi chora nahi karte
Kahin is se Tumhare Haath hi zakhmi na ho jayein
Jo Toote Aaina, to phir ise Jora nahi karte
Koi Toofan Teri Kishti ko Garq-e-Aab na karde
Kabhi Biphri hoi Mojon ka Rukhh mora nahi karte
Tijarat ke usulon per Mohabbat ki Nahi jati
Mohabbat main kabhi Jazbaat ka Souda nahi karte
Sitam karna Mohabbat per, yeh hai Adat zamane ki
Zamane ke sitam per Hum yeh Dil tora nahi karte
Mohabbat ke usulon mai, yehi pehla usool apna
Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte
Jis se Mohabbat karte ho us se Jhoot na bolo
Mohabbat mai kabi Khayanat kia nahi karte
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
***Mere Dostoon Se Poocho***
*******************************************
Mere Dard Ki Kahani Meri Hasraton Se Poocho
Main Luti Ho Kis Tarah Mere Dosto Se Poocho
Jo Khuda Tha Mere Dil Ka,mera Dil Usi Ne Tora
Ye Gumo Ki Sarhado Pe Mje Kisne La Chora
Use Mene Kitna Chaha Dharkano Se Pocho
Main Luti Hoo Kis Rtarah Mere Doston Se Poocho
Ye Saza Mere Naseb Ne Di Meri Ashique Ki,
Dia Jisko Dil Usi Ne Mere Dil Se Dillagi Ki
Mai Kahan Kahan Jali Hun Meri Hasratoon Se Poocho
Main Luti Ho Kis Tarah Mere Dostoon Se Poocho.......
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
andheron ka tasalsul mukhtasar honay nahin deta
sahar ka naam leta hay, sahar honay nahin deta
woh shab fitrat hay us ko roshni achhi nahin lagti
kisi gher main ujalon ka guzer honay nahin deta
woh dehshat banTta hay khowf kay manzar bhi deta hay
koi shakh e tamanna baarawer honay nahin deta
woh saray faislay hasb e zaroorat aap kerta hay
kisi ka herf, Harf e mu'taber honay nahin deta
hamesha doosron main faslay taqseem kerta hay
woh logon ko bahem sheer o shaker honay nahin deta
ameer e karawaN rehnay ka itna showq hay us ko
keh danista bhi takmeel e safar honay nahin deta
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
***mai ku tarkey taaluq ki ibtidaa karta***
*******************************************
Main Kiyon Na Tark-E-Ta'aluq Ki Ibteda Karta
Wo Dur Dais Ka Baasi Tha Kiya Wafa Karta ?
Wo Mere Zabt Ka Andaza Karne Aaya Tha
Main Has Ke Zakhm Na Khata Tu Aur Kiya Karta ?
Hazar Aiena Khano'N Main Bhi Na Pa Saka
Wo Aiena Jo Mujhe Khud Se Aashna Karta
Dar-E-Qafas Pe Qayamat Ka Habs Tha Warna
Saba Se Zikr Tera Main Bhi Sunn Liya Karta
Meri Zamee'N Too Agar Mujh Ko Raas Aa Jaati !
Main Rifato'N Main Tujhe Aasma'N Sa Karta
Gham-E-Jaha'N Ki Muhabbat Lubha Rahi Thi Mujhe
Main Kiss Tarha Teri Chahat Pe Aasra Karta ?
Agar Zuba'N Na Kat Ti Tu Shehar Main MOHSIN
Main Pathro'N Ko Bhi Ik Rooz HamNawa Karta
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
**"dil jalanay kee baat kartay ho"**
************************************
dil jalanay kee baat kartay ho
aashiyanay kee baat kartay ho
ham ko apnee khabar nahi yaroo
tum zamanay kee baat kartay ho
saree duniya kay ranj o gham day kar
muskuranay kee baat kartay ho
zikar maira sunaa tu chir kay kahaa
kiss dewanay kee baat kartay ho
hadsaa thaa guzar gayaa hogaa
kiss kay jaanay kee baat kartay ho
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
**"Dasht main piyaas bhujatey howey mar jatey hain"**
************************************************** **
Dasht main piyaas bhujatey howey mar jatey hain
Hum parinday kaheen jatey howey mar jatey hain
Hum hain sookhay howey talaab pay baithy howey hans
Jo tayaluq ko nibhatey howey mar jatey hain
Un kay bhee qatl kaa ilzaam humarey sar hay
Jo humain zehar pilatey howey mar jatey hain
Yeh mohabbat kee kahanee nahee martee laikin
Log kirdaar nibhatey howey mar jatey hain
Hum hain woh tootee howee kashtion waley faraz
Jo kinaron ko milatey howey mar jatey hain
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
***LaUt AaNa***
***********************************
Kabhi meri yad sataye tow lot ana..
kabhi dil gabraye tow laut ana...
ghairon ko tu ne dil main basa lia hai...
tere dil bar tum ko tuhkray tow laut ana...
Hazaron zakham tu ne mairay dil ko diye...
jab tera koi dil dokhaye tow laut ana...
jewan ojaar k mera buhat khosh hoo tum...
zindagee tairee koi barbad kar jaye tow laut ana...
meri zindagi me tu khazan bakir gai te tum...
agar bahar tum sa root jaya tow laut ana...
zamane k sath aaj tum bohat khosh ho na...
agar zaman tum ko char jaye tow laut ana...
dil tera b jab zakhmo se chor jaye...
koi b tum ko na apnaye tow laut ana...
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
***Kuch aur sochne ki zarorat nahi mujhe***
*******************************************
Kuch aur sochne ki zarorat nahi mujhe,
Tere siwa kisi se mohabbat nahi mujhe,
Rehta hai bas tera hi mujhe raat din khayal,
Main tujh ko bhol jaon yeh taqat nahi mujhe,
Kal shab tumhari yaad mein aanso chilak pade,
Ab kuch bhi kehne ki hajat nahi mujhe,
Kis ko sunaon jaa ke mein apna yeh hal-e-ahewal,
Tum ne to keh diya hai ke fursat nahi mujhe,
Khushiyon se ab nahi hai koi rabta mera,
Pal bhar tumhare ghum se faragat nahi mujhe,
Sab kuch ujar gaya mera khuwabon ke sath sath,
Faraz magar kisi se shikayat nahi mujhe...
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
cherey perhta, aankhain likhta rehta hoon
main bhi kaise batain likhta rehta hoon ?
saray jism darakhtoon jaise lagtay hain
aur bahoon ko shakhain likhta rehta hoon
tujh ko khat likhnay ke taiwar bhool gia
aarhi tirchi satrain likhta rehta hoon
tere hijr main aur mujhe kia kerna hai
tere naam kitabain likhta rehta hoon
tujh se mill ker saray dukh dohraoon ga
hijr ki sari batain likhta rehta hoon
sookhay phool, kitabain, zakham judai ke
teri sab soghatain likhta rehta hoon
us ki bheegi palkain hansti rehti hain
MOHSIN jab tuk ghazlain likhta rehta hoon
( MOHSIN NAQVI)
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
***Fasaney Nahi AAtey***
***************************************
Honthon pe mohabbat k fasaane nahi aate,
Sahil pe samundar ke kinare nahi aate,
PAlkain bhi chamak uthti hai soti mein hamari,
Aankhon ko abhi khawab chhupane nahi aate,
Dil ujdi hui ek saraaye ki tarha hai,
Ab log yaha raat jagane nahi aate,
Yaaron naye mousam ne ye ehsaan kiya hai,
Ab yaad samjhe dard purane nahi aate,
Udne do parindo ko abhi shokh hawa mein,
Phir lout k bachpan k zamane nahi aate,
IS shehar k badal teri zulfon ki tarha hai,
Ye aag lagate hai bujhane nahi aate,
Tum bhi ghairo ki ada seekh gaye ho,
Aate hai magar dil ko dukhane nahi aate..!!
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
***Kabhi Anjaam sey Pehley***
***********************************************
Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle,
Dilo ke Deep jalte hai Chiragh-e-Shaam se pehle,
Kabhi Manzar badalne par bhi kissa chal nahi pata,
Kahani khatam hoti hai kabhi Anjaam se pehle,
Ye hi Taare Tumhaari Aankh ki Chilman mein rehte the,
Ye hi Suraj nikalta tha Tumhare Baam se pehle,
Hui hai Shaam Jangle mein Parinde laut-te honge,
Ab inko kis tarah roke Nawaah-e-Daam se pehle,
Ye saare Rang Murdaa the Tumhaari Shakl banne tak,
Ye Saare Harf Muhmal the Tumhaare Naam se pehle,
Hua hai wo agar Munsif to Ahtiyatan Hum,
Saza Tasleem karte hai kisi Ilzam se pahle..!!!
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
***tumein jab kabhi milein fursatein***
************************************************** ******
tumein jab kabhi milein fursatein, mere dil se bojh utar do
mein boht dino se udas hoo mujhe koi sham udhar do
mujhe apne roop ki chamk do k chamk sakein mere haal-o-khad
mujhe apne rang mein rang do, mere sare zang utar do
kisi aur ko mere hal se garz hai na koi wasta
mein bikhar gia hoon sameet lo, mein bighar gia hoon sanwar do
meri wehsaton ko barha diya hai judaion k azab ne
mere dil pe hath rakho zara, meri dharknon ko qarar do
tumein subho kaisi lagi, mari khwahshon k diyar ki
jo bhali lagi to yahni raho, ise chahton se nikhar do
waha ghar mein kaun hai muntazir k ho fikar dair saweer ki
bari mukhtasir si ye raat hai ise chandni mein guzar do
koi baat karni hai chand se kisi shahsar ki aut se
mujhe raste mein yahni kahin kisi kunj-e-gul mein utar do!!!!!
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
Mehfil mein teri sitaron ki roshani bahut hay
Isliye Alwida teri Mehfil ko kar hum chaley
Janey Dil ke kisey koney mein Aandhera bahut hay
Dil ko roshan khuda ki ibaaddat se karne hum chaley
Khuda ko Paney ki chaah Iss Dil mein bahut hay
Do hathon se dua mangney hum chaley
Teri Aankhon mein basey motiyon ki chamak bahut hay
Khuda se Apne motiyon ka hisab mangney hum chaley
Pathar na kehna Jis Dil mein armaan bahut hay
Patharon se ek jharney ka rukh modne hum chaley
Phuul na kehna Jis Phuul mein kantey bahut hay
Phuulon ko Katon se Sajaane hum chaley
Chaand ke nuur mein chandni bahut hay
hum ek tarey mein apni yaad basa kar chaley
Karvaan Zindagi ka yuun hi badhta jayega
Hum Aasmaan tere hathon mein saunp kar chaley...!!!
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
Quote:
Originally Posted by
Arosa Hya
hmmmmmmmm
thx
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
Tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai
Tum agar aankh churao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai
Mere dil ki mere jazbaat ki qeemat kia hai
Uljhe uljhe se khayalat ki qeemat kia hai
Mai ne kyun pyar kiya,tum ne kyun na pyar kiya
Inn pareshan sawalaat ki qeemat kia hai
Tum jo ye bhi na batao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai
Tumko dunia k gham-o-dard se fursat na sahi
Sab se ulfat hai ,mujh se hi mohabbat na sahi
Main tumhara hon wohi mere liye kya kam hai
Tum mere ho k raho ye meri qismat na sahi
Aur mere dil ko jalao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
Jab chand sitare chamak rahe hon,
Jab yadon k phool mehek rahe hon,
Jab deed ko nain taras rahe hon,
jab ankhon se ansu baras rahe hon,
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi
Jab tanhai se dil ghabrae ga,
Jub tumhein akela pan sataye ga,
Jab koi khuab he na aye ga,
Jab phool kitab mein he reh jayenge,
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
wow
Buhattt he lajawab sharing
umda intekhab
-
Re: ******* Ghazal Collection *******
-
Re: ******* Ghazal Collection *******