-
for Jagjit Singh's Fans
Hello Friends .... Here You Can Post The Best Lyrics
Of The Legend Jagjit Singh 's Songs And Even You
Can Have The Lyrics Of Each Songs ....
Jagjit Singh is one of the most famous
Ghazal singers of the modern times.
In an era where the current generation
is headed towards rock and hip hop music
it is refreshing to see them cherish
Jagjit Singh ghazals as well.
Born in Ganganagar located in Rajasthan on 8th February 1941
the name Jagjit means the one who triumphs over the world
His father Sardar Amar Singh Dhiman
was a Government official and his mother
Sardarni Bachchan Kaur had a religious family background
He has four sisters and two brothers
and is fondly addressed as "Jeet" by his family
one of my most favourite ghazal
"Koi Fariyaad" (Jagjit Singh)
Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise
Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise
Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rehta Hoon Main
Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rahta Hoon Main
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise
Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Hothon se chuh lo tum ,
Mera geet amar kar do !
bann jao meet mere ye geet amar kar do!!
Hothon se chuh lo tum...............
Na umar ki seema ho ,
na janam ka ho bandhan
jab pyar kare koi toh dekhe kewal mann
nayi reet chala kar tum,ye reet amar kar do
ye reet amar kar do ,ye geet amar kar do!!
Aakash ka sunapann ,
mere tanha dil mein
payal chankati tum,aa jao jeevan mein
sansein dekar apna sangeet amar kar do
sangeet amar kar do ,meri preet amar kar do
Jag ne cheena mujhse
mujhe jo bhi laga pyara
sab jeeta kiye mujhse
main hardumm hee hara
Dil haar k tum apna ,meri jeet amar kar do
meri jeet amar kar do ,mera geet amar kar do!!!
Hothon se chuh lo tum ,
Mera geet amar kar do !
bann jao meet mere ye geet amar kar do!!
Hothon se chuh lo tum...............
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Baat Nikalegee To Phir Duur Talak Jaayegee
Log Bewajah Udaasee Kaa Sabab Poochhenge
Ye Bhee Poochhenge Ke Tum Itnee Pareshaan Kyoon Ho
Oongliyaan Uthengee Sookhe Huye Baalon Kee Taraf
Ek Nazar Dekhenge Guzre Huye Saalon Kee Taraf
Choodiyon Par Bhee Kai Tanz Kiye Jaayenge
Kaanpate Haathon Pe Bhee Fikre Kase Jaayenge
Log Zaalim Hain Har Ek Baat Kaa Taanaa Denge
Baaton Baaton Mein Meraa Zikr Bhee Le Aayenge
Unakee Baaton Kaa Zaraa Saa Bhee Asar Mat Lenaa
Warnaa Chehre Ke Taasur Se Samajh Jaayenge
Chaahe Kuchh Bhi Ho Sawaalaat Naa Karnaa Unse
Mere Baare Mein Koi Baat Na Karnaa Unse
Baat Nikalegii To Phir Door Talak Jaayegee
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
yeh duniya khoobsurat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
khuda se roz tumko maangta hoon
khuda se roz tumko maangta hoon
khuda se roz tumko maangta hoon
meri chahat ibaadat ho gayi hai
meri chahat ibaadat ho gayi hai
yeh duniya khoobsurat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
woh chehra chaand hai aankhen sitaaren
woh chehra chaand hai aankhen sitaaren
zameen phoolon ki jannat ho gayi hai
zameen phoolon ki jannat ho gayi hai
yeh duniya khoobsurat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
bahut din se tumhe dekha nahi hai
bahut din se tumhe dekha nahi hai
bahut din se tumhe dekha nahi hai
chale bhi aaon muddat ho gayi hai
chale bhi aaon muddat ho gayi hai
yeh duniya khoobsurat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
hoshawaalon ko khabar kyaa bekhudee kyaa cheej hain
ishk kije fir samajiye, jindagee kyaa cheej hain
unase najare kyaa milee, roshan fijaayen ho gayee
aaj jaanaa pyaar kee jaadoogaree kyaa cheej hain
khulatee julfon ne sikhaayee, mausamo ko shaayaree
zukatee aankho ne bataayaa, mayakashee kyaa cheej hain
hum najar se kah naa paaye, un se haala-ye-dil kabhee
aaur wo samaze naheen, ye khaamoshee kyaa cheej hain
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
apne hoThon par sajaanaa chaahataa huuN
aa tujhe main gungunaanaa chaahataa huuN
koii aaNsuu tere daaman par giraakar
buuNd ko motii banaanaa chaahataa huuN
thak gayaa main karatekarate yaad tujhako
ab tujhe main yaad aanaa chaahataa huuN
chhaa rahaa hai saarii bastii men aNdheraa
roshanii ho ghar jalaanaa chaahataa huuN
aaKhirii hichakii tere zaano pe aaye
maut bhi main shaayaraanaa chaahataa huuN
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Pyar ka pehla khat likhne mein waqt to lagta hai,
Naye parindo ko udne mein waqt to lagta hai...
Jism ki baat nahi thi un ki, dil tak jana tha,
Lambi duri tai karne me, waqt to lagta hai..
Gaanth agar lag jaye to phir, rishte ye dori,
Lakh kare koshish khulne me, waqt to lagta hai..
Hamne ilaaz jokhme dil ko, dhar liya lekin,
Gahre zakhmo ko bharne me, waqt to lagta hai.
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Apna ghum bhool gai, teri jafa bhool gai,
hum tou hur baat, muhabbat kai siwa bhool gae
hum akelay hi nahi pyar kai dewanay sanum,
app hi nazray jhookanay ki ada bhool gai,
ab tou soocha hai kai daman tera thamay,
haath jab hum nai uthaee hai, dua bhool gai,
shukar samjhoo ya isay apni shikayat samjho,
tumnay wo dard dia hai kai dawa bhool gai,
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Hindi Song Title: Yeh daulat bhi le lo
Hindi Movie/Album Name: AAJ
Singer(s): JAGJIT SINGH, CHITRA SINGH
Hindi Lyrics:
ye daulat bhii le lo, ye shoharat bhii le lo
bhale chhiin lo mujhase merii javaanii
magar mujhako lautaa do bachapan kaa saavan
vo kaagaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii
--Jagjit--
muhalle kii sabase nishaanii puraanii
vo budhiyaa jise bachche kahate the naanii
vo naanii kii baaton mein pariyon kaa deraa
vo chahare kii jhuriryon mein sadiyon kaa pheraa
bhulaae nahiin bhuul sakataa hai koi
vo chhotii sii raaten vo lambii kahaanii
--Chitra--
kadii dhuup mein apane ghar se nikalanaa
vo chidiyaa vo bulabul vo titalii pakadanaa
vo gudiyaa kii shaadii mein ladanaa jhagadanaa
vo jhuulon se giranaa vo gir ke sambhalanaa
vo piital ke chhallon ke pyaare se tohafe
vo tuutii hui chuudiyon kii nishaanii
--Jagjit--
kabhii ret ke unche tiilon pe jaanaa
gharaunde banaanaa banaake mitaanaa
vo maasuum chahat kii tasviir apanii
vo kvaabon khilaunon kii jaagiir apanii
na duniyaa kaa gam thaa na rishton ke bandhan
badii khuubasuurat thii vo zindagaanii
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
apnay honto per sajana chahta hu,
aa tujhey mai gun guna na chahta hu,
koi anso teray daman per gira ker,
boond phoolo ki banana chahta hu,
kut gaya mai kertay kertay yaad tujh ko,
ab tujhey mai yaad ana chahta hu,
cha raha hai sari basti me andhera,
roshni do ghar jalana chahta hu,
akhri hichki teray janay pai ae,
mout bhi mai shayarana chahta hu,
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Mujhse Bichhad Ke Khush Rehte Ho
Artist: Jagjit Singh
Album: Saher
Mujse bichad ke khush rahthe ho(2)
Meri tharah
thum bhi jhootte ho(2)
Mujse bichad ke khush
rahthe ho
Ik tahani pe chaandh tika tha(2)
Mein
ye samjha thum baitte ho(3)
Ujale ujale phool
khile the (2)
Bilkul jaise thum hasthe ho (3)
Mujhko shaam batha dhethi hai(2)
Thum kaise
kapade pahane ho(3)
Thum thanha dhuniya se
ladoge(2)
Bachom si baathein karthe ho(3)(mujse)
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
shaam se aankh mein nammi si hai
aaj phir aap ki kami si hai
shaam se aankh mein nami si hai
dafan karr do humme ke sans mille
nabaj kuch derr se thami si hai
aaj phir aap ki kammi si hai
waqt rehta nahin kahi tikk karr
iski aadat bhi aadami si hai
iss ki aadat bhi aadami si hai
aaj phir aap ki kammi si hai
koi rishta nahin raha phir bhi ek tasvir lajmi si hai
shaam se aankh mein nammi si hai
aaj phir aap ki kammi si hai
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Hindi Song Title: Chithhi na koyi sandesh
Hindi Movie/Album Name: DUSHMAN
Singer(s): JAGJIT SINGH, LATA MANGESHKAR
Chithhi na koyi sandesh…
Ho… chithhi na koi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Chithhi na koyi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Chithhi na koyi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye...
Ek aah bhari hogi hamne na suni hogi
Jaate jaate tumne awaaz to di hogi
Har waqt yehi hai gham, us waqt kaha the hum
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye...
Har cheez pe ashkon se likha hai tumhaara naam
Ye raste ghar galiyaan tumhe kar na sake salaam
Hai dil mein reh gayi baat, jaldi se chhuda kar haath
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jahan tum chale gaye...
Ab yaadon ke kaante is dil mein chubhte hain
Na dard thhaherta hai na aanson rukte hain
Tumhe dhhundhh raha hai pyaar, hum kaise karein iqraar
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jahan tum chale gaye...
Ho kahan tum chale gaye
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
yeh nazarana tera bhi hai mera bhi
apne gham ka geet bana kar gaa lena
raag puraana tera bhi hai mera bhi
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
tu mujhko aur main tujhko samjhaaoon kya
tu mujhko aur main tujhko samjhaaoon kya
dil deewana tera bhi hai mera bhi
dil deewana tera bhi hai mera bhi
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
shahar mein galiyon galiyon jiska charcha hai
woh afsaana tera bhi hai mera bhi
maikhane ki baat na kar waiz mujhse
aana jaana tera bhi hai mera bhi
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
yeh nazarana tera bhi hai mera bhi
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
(Benaam sa yeh dard
thahar kyon nahi jaata) -2
jo beet gaya hai vo
guzar kyon nahi jaata
benaam sa yeh ...
Sab kuch to hai kya dhoondti
rahti hain nigaahein
Kya baat hai main
waqt pe ghar kyoon nahi jaata
jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jaata
(Vo ek hi chahra to
nahi saare jahan main) -2
(Jo door hai vo dil se
utar kyon nahi jata) -2
Jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jata
benaam sa yeh....
(Main apni hi uljhi hui
raahon ka tamasha) -2
(Jaate hai jidhar sab
main udhar kyoon nahi jata) -2
Jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jata
(Vo naam jo barson se
na chehra hai na badan hai) -2
(vo khwab agar hai to
bikhar kyoon nahi jata) -2
Jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jata
benaam sa yeh
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
jhukeen jhukeen si najzar bekaraar hain ke naheen
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hain ke naheen
too apane dil kee jawaan dhadakanon ko gin ke bataa
meree tarah teraa dil bekaraar hain naheen
wo pal ke jis mein mohabbat jawaan hotee hain
us ik pal kaa tuze intazaar hain ke naheen
teree ummeed pe thhukaraa rahaa hoo duniyaan ko
tuze bhee apane pe ye aetabaar hain ke naheen
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle
bahot nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle ...
daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par?
voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle
nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin
bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle
bharam khul jaaye zaalim! teri qaamat ki daraazi ka
agar is tarahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle
magar likhvaaye koi usko khat, to hum se likhvaaye
hui subaha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle
hui is daur mein mansoob mujh se baada aashaami
phir aaya voh zamaana, jo jahaan mein jaam-e-jaam nikle
hui jin se tavaqqa khastagi ki daad paane ki
voh hum se bhi zyaada khasta e tegh e sitam nikle
mahobbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka
usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle
zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle
Khuda ke vaaste pardaah na kaabe se uthaa zaalim
kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle
kahaan maikhane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz
par itna jaantay hain kal voh jaata tha ke hum nikle
hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
bahot nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle ...
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
jiivan kyaa hai chalataa phirataa ek khilonaa hai
do aaNkhon men ek se haNsanaa ek se ronaa hai
jo jii chaahe vo mil jaaye kab aisaa hotaa hai
har jiivan jiivan jiine kaa samajhautaa hai
ab tak jo hotaa aayaa hai vo hii honaa hai
raat aNdherii bhor suhaanii yahii zamaanaa hai
har chaadar men dukh kaa taanaa sukha kaa baanaa hai
aatii saaNs ko paanaa jaatii saaNs ko khonaa hai
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi -2
jab mere bachpan ke din the, chaaNd mein pariyaaN rahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
ek ye din jab apnoN ne bhi hamse naataa toD liyaa -2
ek vo din jab peD ki shaaKhen bojh hamaaraa sahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
ek ye din jab saari saDken rooThi rooThi lagti hain -2
ek vo din jab aao khelen saari galiyaaN kahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
* ek ye din jab jaagi raaten deevaaroN ko takti hain -2
ek vo din jab shaamoN ki bhi palken bojhal rahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
ek ye din jab laakhoN Gham aur kaal paDaa hai aaNsoo kaa -2
ek vo din jab ek zaraa si baat pe nadiyaaN bahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
jab mere bachpan ke din the, chaaNd mein pariyaaN rahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai -2
Dhadak aahista se, eh dil -2
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai
Koyi sun le na ye qissa, bahot darr lagta hai -2
Magar darr hi se kya haasil -2
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai
Bataana bhi nahin aasaan, chhupaana bhi kathhin hai -2
Khud aaya kis qadar mushkil -2
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai
Ujaale dil ke phaile hain, chale aao na jaanam
Chale aao... na jaanam
Bahot hi pyaar ke qaabil -2
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai -2
Dhadak aahista se eh dil, eh dil, eh dil
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Chaand bhi dekha
Phool bhi dekha
Baadal bijli titli jugnu
Koi nahin hai aisa
Tera husn hai jaisa
Tera husn hai jaisa
Meri nigaah ne ye kaisa khwaab dekha hai
Zameen pe chalta hua mahathab dekha hai
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Neend bhi dekhi
Khwaab bhi dekha
Neend bhi dekhi
Khwaab bhi dekha
Choodi bindiya darpan khushboo
Koi nahin hai aisa
Tera pyaar hai jaisa
Tera pyaar hai jaisa
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Rang bhi dekha
Roop bhi dekha
Rang bhi dekha
Roop bhi dekha
Rasta manzil saahil mehfil
Koi nahin hai aisa
Tera saath hai jaisa
Tera saath hai jaisa
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Bahut khoobsuat hai aankhein tumhaari
Bana dijiye inko kismat hamari
Usay aur kya chaahiye zindagi mein
Jise mil gayi mohabbat tumhari
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
अपने हाथों की लकीरों में बसा ले मुझको
मैं हूँ तेरा तो नसीब अपना बना ले मुझको।
मुझसे तू पूछने आया है वफ़ा के माने
ये तेरी सादा-दिली मार ना डाले मुझको।
ख़ुद को मैं बाँट ना डालूँ कहीं दामन-दामन
कर दिया तूने अगर मेरे हवाले मुझको।
बादाह फिर बादाह है मैं ज़हर भी पी जाऊँ ‘क़तील’
शर्त ये है कोई बाहों में सम्भाले मुझको।
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Kisi Nazar Ko Tera Intizaar Aaj Bhi Hai
Kahan Ho Tum Key Yeh Dil Beqaraar Aaj Bhi Hai
Na Jaanay Dekh Kay Un Ko Yeh Howa Ehsas Keh
Meray Dil Pay Unhain Ikhtiyar Aaj Bhi Hai
Yakeen Nahin Hai Magar Aaj Bhi Yeh Lagta Hai
Meri Talaash Main Shayad Bahar Aaj Bhi Hai
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
shaam se aankh mein nami si hai
aaj phir aapaki kami si hai
shaam se aankh
dafn kar do hamein ke saans mile
nabz kuchh der se thami si hai
aaj phir aapaki
vaqt rahataa nahin kahin tik kar
isaki aadat bhi aadami si hai
aaj phir aapaki
koyi rishtaa nahin rahaa phir bhi
ek tasalim laazami si hai
shaam se aankh
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
(zindagi yuun huyi basar tanahaa
qaafilaa saath aur safar tanahaa) -2
(apane saaye se chaunk jaate hain) -2
(umr guzari hai is qadar tanahaa)-2
(raat bhar bolate hain sannaate)-2
(raat kaate koyi kidhar tanahaa)-2
(din guzarataa nahin hai logon me.n)-2
(raat hoti nahin basar tanahaa)-2
(hamane daravaaze tak to dekhaa thaa)-2
(phir na jaane gaye kidhar tanahaa)-2
qaafilaa saath aur safar tanahaa
zindagi yuun huyi basar tanahaa
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
tamanna phir machal jaaye agar tum milne aa jao
ye mausam hi badal jaaye agar tum milne aa jao
ye duniya bhar ke jhagre ghar ke kisse kaam ki baatein
bala har ek tal jaaye agar tum milne aa jao
nahin milte ho mujhse tum to sab humdard hain mere
zamana mujhse jal jaaye agar tum milne aa jao
mujhe gham hai ke maine zindagi mein kuch nahin paaya
ye gham dil se nikal jaaye agar tum milne aa jao
tamanna phir machal jaaye agar tum milne aa jao
ye mausam hi badal jaaye agar tum milne aa jao
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Jaag ke kaati saari raina -2
Nainon mein kal hos giri thi -2
Jaag ke kaati saari raina -2
(Prem ki agni bujhti nahin hai
Beheti nadiya rukti nahin hai) -2
Saagar tak behete do naina -2
Jaag ke kaati saari raina -2
(Ruhu ke bandhan khulte nahin hai
Daag hai dilke dhulte nahin hai) -2
Karvat karvat baaki raina -2
Jaag ke kaati saari raina
Nainon mein kal hos giri thi -2
Jaag ke kaati saari raina -2
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Artist: Jagjit Singh
Album: Love is Blind
Kabhi khaamosh baitoge kabhi kuch
gungunavoge(2)
Main uthna yaadh aavoonga mujhe
jithna bulavoge
Kabhi khaamosh baitoge kabhi kuch
gungunavoge
Koi jab pooch baittega khamoshi ka
sabab thumse (2)
Bahuth samajhana chahonge magar
samajha na paaoge
Main uthna yaadh aavoonga
mujhe jithna bulavoge
Kabhi khaamosh baitoge
kabhi kuch gungunavoge
Kabhi dhuniyaa mukhammal
ban ke aaygee nigahom mein (2)
Kabhi meri ka mun
dhuniya ki har ik shei ne paaoge
Main uthna
yaadh aavoonga mujhe jithna bulavoge
Kabhi
khaamosh baitoge kabhi kuch gungunavoge
Kahi par
bhee rahe hum thum mohabath ki mohabath hai (2)
Thumhem hum yaadh aayenge humein thum yaadh
aaoge(2)
Kabhi khaamosh baitoge kabhi kuch
gungunavoge
Main uthna yaadh aavoonga mujhe
jithna bulavoge
Kabhi khaamosh baitoge kabhi kuch
gungunavoge
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Aao mil jaaye ham sugandh aur suman ki tarha
Ek ho jaaye chalo jaan aur badan ki tarha
Dil ke mandir mein saja rakhi hai murat teri
Mere jeene ki to surat hai ye surat teri
Raat din saath rahe seene mein dhadhkan ki tarha
Aao mil jaaye…
Ek jeewan ki khushi tumne dee ik ik pal mein
Bhar diya saare jag ka pyaar mere aanchal mein
Pyaar ka ek bhi pal pyaara hai jeewan ki tarha
Aao mil jaayeâ
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
Koi dost hai na raqeeb hai
tera shehar kitna ajeeb hai,
Yahan kiska chehra pada karu
Yahan kaun itna kareeb hai,
Yahan kisse kahu mere saath chal
Yahan Sab ke sar pe saleeb hai,
Wo jo ishq tha wo junoon tha
yeh jo hijr hai wo naseeb hai,
-
Re: for Jagjit Singh's Fans
ye mozsar bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhe,
ki sang tujh pe gire aur jhakm aye mujhe,
vo mehrban hai to fir ikrar kyu nahi karta,
vo badguman hai to sau bar ajmaye mujhe...
ki sang tujh pe gire aur jakhm aye mujhe...