Tumhari Misaal, Na-Mumkin Hai,
Tumhara Akss Bhi, Tum Sa Nahi.
Printable View
Tumhari Misaal, Na-Mumkin Hai,
Tumhara Akss Bhi, Tum Sa Nahi.
Sangsaari* ki sazaa hai manzoor mujh ko,
Hath jiss ke na hon alooda* woh pathar marey..
Ishq mein jis ne bhi bura haal bana rakha hai,
So wohi kehta hai “ajee is mein kya rakha hai”..
Ishq mein jis ne bhi bura haal bana rakha hai,
So wohi kehta hai “ajee is mein kya rakha hai”..
[SOUNDCLOUD][/SOUNDCLOUD]Hussn wohi hai hussn jo zalim,
Hath lagaaye hath na aaye..
Puchtey hain kya hua dil ko,
Husn walon ki saadgi na gayi..
Husn waley husn ka anjaam dekh,
Doobtey suraj ko waqt-e-shaam dekh..
Darta hoon kehne se ke mohabbat hai tumse,
Meri zindagi badal de ga, tera iqrar bhi, inkaar bhi..
Yeh inaaayat’en ghazab ki, bala’aa ki meherbani,
Meri kheriyat bhi puchi to kisi aur ki zubaani…
Mat maaang duaaye’n jab,
Mohabbat tera mera masla hai..
Mera kaarnama-e-zindagi meri hasraton ke siwa kuch nahin,
Yeh kiya nahin, woh hua nahin, yeh mila nahin, woh raha nahin..
Ajab tilassm* hay tere wajood ka mujh per,
Toota mera har khuwaab magar yeh nahin toota..
Hum se kab mansoob hai ronaq tumhare bazam ki,
Hum na hon ge tab bhi ho gi subha teri..Sham teri
Be-laus mohabbat ke silslay ab hatam,
Jis tarah ki duniya ab usi tarah ke hum..
Mohabbat tera mera masla tha,
Zamana darmeyaan kyun ageya hai..
Mohabbat kese hoti hai, Mohabbat kis ko kehtey hain,
Tera majboor kar dena, mera majboor ho jaana..
Jalaal asaan nahin abaad ghar karna mohabbat ka,
Yeh un ka kaam hai jo zindagi barbaad karte hain..
…
Abhi na chairr mohabbbat ke geet, mere yaar,
Abhi zindagi ka mahol saazgaar nahin..
Mohabbat ki manzil hi shayed nahin hai,
Ke jab dekhiye imtihaan aur bhi hain..
Ya to un ka tazkra karay har koi,
Ya koi hum se guftgu na karay..
Tabeer to kab apney muqadar mein koi hai!!
Aao key koi hasee’n khawab orh key so’ein..
Tum dil key aney janey sey kuch bad-guma’n sey ho..
Mera hua to kiya, tumhara hua to kiya.!!
…
Tum apney khayal’on ko mujhey sonp ker dekho..
Har shaks amanat mein khayanat nahi’n karta!
…
Jiski yaad h dil me nishani ki tarah,
Wo to bhool gaye hume kahani ki tarah.