Re: ¸.•°*”˜”*°•кαуяα Cσļļєctιση¸.•°*”˜”*°•
Re: ¸.•°*”˜”*°•кαуяα Cσļļєctιση¸.•°*”˜”*°•
kuch duur humare sath chalo
hum dil ki kahani keh dein ge
samjho na jise tum ankhun se
wo baat zubani keh dein gay
phoolun ki tra hoontun pe
ek shok-e- tabussam bikhray ga
hum phir se tumhare kanu mein
ek baat purni keh dein gay
izher-e-wafa tum kia jano!!!
iqrar-e- wafa tum kia jano!!
hum zikar karin gay gehrun ka
aur apni kahni keh dein gay
kuch duur
Re: ¸.•°*”˜”*°•кαуяα Cσļļєctιση¸.•°*”˜”*°•
safar mein aane wali her azyet farz karte hain
chalo kuch duur yunhi rafaqat farz karte hain
dil e betaab ko jo mutmain kar de judai per
teri janib se ek aisee wazahat farz karte hain
wahin shahyad koi rasta nikal ata kahani mein
jahan se hum tere kehne mein hijrat farz karte hain
yh tere qurb mein kis narsai ki shabat hai
k jaise hum mohabbat ko mohabbat farz karte hain
Re: ¸.•°*”˜”*°•кαуяα Cσļļєctιση¸.•°*”˜”*°•
safar mein aane wali her azyet farz karte hain
chalo kuch duur yunhi rafaqat farz karte hain
dil e betaab ko jo mutmain kar de judai per
teri janib se ek aisee wazahat farz karte hain....
wahin shahyad koi rasta nikal ata kahani mein
jahan se hum tere kehne mein hijrat farz karte hain
yh tere qurb mein kis narsai ki shabat hai
k jaise hum mohabbat ko mohabbat farz karte hain
Re: ¸.•°*”˜”*°•кαуяα Cσļļєctιση¸.•°*”˜”*°•
MEIN MOHABBAT BARAY IBADAT KARUN
ay khuda honsla kuch aisa de mujhe
dushmunoo k liay muskuraya karun!
dosti mein jafa ka gila na karun
dostun se wafain nibhaya karun1
sukh zara bhe mile tou yaad rakhun usse
dukh bare se bare bhool jaya karun!
un k paoun tale garam sehraiun mein
apne jazbun ki khunki bichaya karun!
chand jis raat chamk na un k nagar
apne ashkun se deep jalaya karun!
mein mohabbat baray ibadat karun
koi shikwa na un se khuda ya karu..
Re: ¸.•°*”˜”*°•кαуяα Cσļļєctιση¸.•°*”˜”*°•
usko chaha tha bhulana tou bhula bhe na saki
daag-e-dil apna zamane ko dikha bhe na saki
ek janat jo khayalun mein basi thi mere
khoobiyan is ki zamane ko bata bhe na saki
ek saya tha jise choo bhe nahi sakti thi
ek khaka tha jis ko mein bana bhe na saki
mere aishaar ki thakleeq ka bayis wohi thi
jab wo aya tou ghazal usko suna bhe na saki
kis ki ahat se machi dil mein yh halchal
ek jhonka tha hawa ka jise mein pa bhe na saki
Re: ¸.•°*”˜”*°•кαуяα Cσļļєctιση¸.•°*”˜”*°•
hun ajeeb kashmash mein hoi zindagi parai
mere pass teri yaadein tere pass bewafai
mere il ko tuunee cheena meri preet jag ne luti
mera dil bhe hai parya meri preet bhe parai
tujhe khoab hi mein dekhun yhe bharam bhe ajj toota
tere khoab kaise dekhun mujhe neend bhe na ayi
hun ajeeb
Re: ¸.•°*”˜”*°•кαуяα Cσļļєctιση¸.•°*”˜”*°•
bara khatan hai yhe rasta jo aasako tou sath do
yhe zindagi ka fasla mita sako tou sath do!
bare fareeb khao ge bare sitam uthao ge
yh umer ka fasla mita sako tou sath do!
jo tum kaho yh dil tou kia mein apni jaan bicha dun
jo mein kahun tou bas ek naza jo luta sako tou sath do
hazroon imthaan hazroon aazmiyaishan hain
hazroon dukh hazrooun gham jo utha sako tou sath do!
Re: ¸.•°*”˜”*°•кαуяα Cσļļєctιση¸.•°*”˜”*°•
A beautyful poem by mohsin naqvi...
Main nay iss toor say chaha tujhay aksar jana'n!
jaisay mehtab ko bay antt samandar chahay !!
jaisay sooraj ki kiran seep k DIL main utray
jaisay khushboo ko hawa rang say hat ker chahaay
jaisay pathar k kalaijay say kiran pothtee hay
jaisay gunchay khulay musam say hina mangtay hain
jaisay khabou'n main khayalou'n ki kama'n toot tee hay
jaisay barish ki DUA aabla paa mangtay hain !!
maira har khab mairay sach ki gawahi day ga
wusat_e_deed nay tujh say tairee khahish ki hay
mairee sochoun main kabhi daikh sarapa apna !
main nay duniya say alag tairee parastish ki hay
khahish_e_deed ka musam kabhi dundhla jo hua
nooch dali hain zamanoun ki naqabain main nay
tairee palkoun pay utartee hoie subhoun k liye
tood dali hain sitaroun ki tanabain main nay !
Main nay chaha tairay husn ki gulzar fiza !
mairee ghazloun ki qataroun say dakhaktee jaye
main nay chaha k mairay fan k gulsita'n ki bahar
tairee aankhoun k gulaboun say mahaktee jaye
tay to ye tha k sajata rahay lafzoun k kanwal
mairay khamosh khayaloun main takalum taira
raqs kerta rahay bherta rahay khushboo ka khumar
mairee khahish k jazeeroun main tabasum taira
tu magar ajnabi mahool ki perwerda kiran !!
mairee bhujhtee hoie ratoun ko sehar kar na saki
tairee sansoun main maseehaie thee lekin tu bhi
chara_e_zakhm_e_deeda_e_tar kar na saki !!
tujh ko ahsas hi kab hay k kisi dard ka dagh
Aankh say dil main utar jaye to kiya hota hay ?
tu k seemab tabiyat hay tujhay kiya maloom ??
musam_e_hijr tahar jaye to kiya hota hay ??
Tu nay uss moor pay toda hay taluq k jaha'n
daikh sakta nahin koie bhi palay ker jana'n
abb ye alam ha k aankhain jo khulai'n ge apnee
yaad aye ga tairee deed ka manzar jana'n !!!
mujh say mangay ga tairay ahed_e_muhubat ka hisab
tairay hijra'n ka dahkta hua mahshar jana'n
yooun mairay dil k barabar taira gham aya hay
k jaisay shheshay k muqabil pathar jana'n !!
jaisay mahtab ko bay antt samandar chahay
main nay iss toor say chaha tujhay aksar jana'n
Re: ¸.•°*”˜”*°•кαуяα Cσļļєctιση¸.•°*”˜”*°•
Bht E Umda Collection realy MAza aagaya read kr k;;;;;;;