Baahar Ke Sard Mausam Par Toh Tumhein Aitraaz Ho Chala Hai,
Rago Mein Bahte Sard Khoon Ka Kabhi Tum Zikr Nahi Karte.
Printable View
Baahar Ke Sard Mausam Par Toh Tumhein Aitraaz Ho Chala Hai,
Rago Mein Bahte Sard Khoon Ka Kabhi Tum Zikr Nahi Karte.
Yeh Perh Yeh Patte Yeh Shakhein Pareshan Ho Jayein,
Agar Parinde Bhi Hindu Aur Musalmaan Ho Jayein.
Apni Manzil Pe Pahuchna Bhi Khade Rehna Bhi,
Kitna Mushkil Hai Bade HoKe Bade Rahna Bhi
Bekasoor Koi Nahi Iss Zamaane Mein,
Bas Sabke Gunaah Ujagar Nahi Hote.
Jalzala Sa Hai Dil Ki Galiyon Mein,
Shayad Tere Ehsaas Gujre Hain Idhar Se.
Meri Shayari Ka Asar Unpe Ho Bhi Toh Kaise Ho?
Ki Main Ehsaas Likhta Hun Woh Alfaz Parhte Hain.
Humari Shayari Parh Kar Bas Itna Hi Bole Woh,
Kalam Chheen Lo Inse Lafz Dil Cheer Dete Hai.
Koi Tabeez Aisa Do Ki Main Chalaak Ho Jaun,
Bahut Nuksaan Deti Hai Mujhe Yeh Saadgi Meri
Waqif Tha Meri Khana-Kharabi Se Woh Shakhs,
Jo Mujhse Mere Ghar Ka Pataa Puchh Raha Tha
Hawa Se Kah Do Khud Ko Aazma Ke Dikhaye,
Bahut Chirag Bujhati Hai Ek Jala Ke Dikhaye.
Jo Roshani Me Khade Hain Wo Jante Hi Nahi,
Hawaa Chale To Chairagon Ki Zindgi Kya Hai
Maine Dekha Hai Baharo Mein Chaman Ko Jalte,
Hai Koi Khwaab Ki Tabeer Bataane Wala?
Yeh Kya Jagah Hai Dosto Ye Kaun Sa Dayaar Hai,
Had-e-Nigaah Tak Jahan Gubaar Hi Gubaar Hai
Mujhe Maloom Hai Tum Bahut Khush Ho Iss Judai Se,
Ab Khayal Rakhna Apna Tumhe Mil Jaaye Na Koyi Tum Jaisa.
Uske Haatho Ka Khilona Hi Sahi Khush Hu Main,
Kuch Der Ke Liye Hi Sahi Mujhe Chahta To Hai.
Udasiyo Ki Wajah Toh Bahut Hain Zindagi Main,
Bewajah Khush Rehne Ka Majaa Hi Kuchh Aur Hai.
Maagne Se Mil Sakti Nahi Hamein Ek Bhi Khushi,
Paye Hai Laakh Ranz Tamanna Kiye Bagair.
Alfaz Churane Ki Jarurat Hi Na Padi Kabhi,
Tere Be-Hisab Khayalon Ne Be-Hatasha Lafz Diye.
Bahut Ajeeb Ho Gaye Hain Yeh Rishte Aajakal,
Sab Fursat Mein Hain Par Waqt Kisi Ke Paas Nahi.
Wahem Se Bhi Aksar Khatm Ho jate Hain Kuchh Rishte,
Qasoor Har Baar Galtiyon Ka Hi Nahi Hota.
Deedar Ki Talab Hai Toh Nazrein Jamaaye Rakh,
Kyuki Naqaab Ho Ya Naseeb Sarakta Jaroor Hai
Aaj Dil Ne Tere Deedar Ki Khwahish Rakhi Hai,
Mile Agar Fursat Toh Khwabon Mein Aa Jana
Har Baar Ilzaam Hum Par Hi Lagana Theek Nahi,
Wafa Khud Se Nahi Hoti Khafa Hum Par Hote Ho.
Woh Dhoondh Rahe The Mujhko Bhool Jane Ke Tareeke,
Khafa Ho Kar Unki Mushkil Aasaan Kar Di Humne.
Kis Tarah Khud Ko Karen Tere Pyar Ke Kabil Hum,
Hum Aadate Badalte Hain To Tum Sharte Badal Dete Ho.
Wo Toh Apni Ek Aadat Ko Bhi Na Badal Saka,
Jane Kyun Maine Uske Liye Apni Zidagi Badal Dali?
Gujar Gaya Aaj Ka Din Bhi Pehle Ki Tarah,
Na Humko Fursat Mili Na Unhein Khayal Aaya.
Bahut Mashroof Ho Shayad Jo Humko Bhul Baithe Ho,
Na Yeh Puchha Kahan Pe Ho Na Yeh Jana Ki Kaise Ho.
Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Mazaa Paya,
Dard Ki Dawa Payi Dard Be Dawa Paya.
Aata Hai Daag-e-Hasrat-e-Dil Ka Shumaar Yaad,
Mujhse Mere Gunah Ka Hisaab Ai Khudaa Na Maang.
yahi na tumhe hum se bicharne ki jaldi hai..
kbi milna tumhare masle ka b hal nikalen ge..
main apni rooh ki poshaak bhi usay pehna doon
wo meri zaat mein rehne ka faisla to kary
Betiyan Sab Ke Muqaddar Main Kahan Hoti Hain ...
Ghar Khuda Ko Jo Pasand Aaye Wahan Hoti Hain .
Hum se muhabbton ki numayish na ho saki
haan itna jante hain tumhe chatey hain hum.
Nasheman pe Nasheman ki tameer karta jaa,
Bijli girte girte apne aap pareshan hojae..
Aarzoo ka chaand dooba gham ki gehri jheel mein
Dard ki waadi mein dost hum tanha reh gaye…..!!
Un Ko Hasil Hai Zamane Ki Tabahi Ka Haq.
Husn K Sath Jawani Jinhe Bharpor Milay.
Maayoos Math Hona Yeh Ek Gunaah Hota Hai
Milta Wahi Bass Jo Qismat Mein Likha Hota Hai...
aaj phir dil ne ek tamanna ki,,
aj phir dil ko samjhaya humnay!!!
Ae Kaash !!! Kahin Qudrat Ka Ye Nizaam Hua Karey,..
Tujhy Dekhney k Siwa Na Mujhy Koi Kaam Hua Karey,..